Islamic Blog

Jab Mareez ki iyaadat ke liye jaei’n to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki zabaan e mubarak se nikli hui mundarja zel(Following) duaei’n Mareez ke haq mein karei’n:

31 20e31⃣Pahli Dua:
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
‘Jo shakhs apne musalman bhai ki teemardaari ke liye jaata hai aur iske sar ke paas baith kar saat martaba ye kalimaat padhta hai to Wo shifayaab ho jaata hai Illa ye ke Uski maut ka waqt hi aachuka ho.’
أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ ، أَنْ يَشْفِيَكَ

“Asalullahal A’azeema Rabbal A’arshil A’azeem Aie’n Yashfiyaka”.

Tarjumah: “Main Azeem o Bartar Allah, Arsh Azeem Ke Rab Se Sawaal Karta Hu’n Ke Tujhe Shifaa Se Nawaaze”.

1f4da📚Sunan Abu Dawood: al Janaaez, Hadith-3106.
Ise Imam Ibne Hibban, Imam Haakim V1 P346 V4 P416) aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha.

32 20e32⃣Doosri (2) Dua:
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ek Araabi ki iyaadat ke liye tashreef le gae aur Us se ye kalimaat kahe:
لا بأسَ، طهورٌ إن شاءَ اللهِ

“Laa Baasa Tuhoorun In Shaa Allahu”.

Tarjumah: Darr Nahi (gham na kar) Agar Allah Ne Chaaha To (yehi beemari tujhe gunaaho’n se) Paak
Karne Waali Hai.’

1f4da📚Bukahri:, Hadith-5656.

33 20e33⃣Teesri (3) Dua:
Aisha Siddiqa Radhiallau Anha farmati hain ke Nabi e Rahmat Sallallahu Alaihi Wasallam mareez (ke jism) par apna daaya’n hath ferte aur ye dua padhte the:

أَذْهِبِ الْبَأْسَ رَبَّ النَّاسِ وَاشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لَا شِفَاءَ إِلَّا شِفَاؤُكَ شِفَاءٌ لَا يُغَادِرُ سَقَمَاً

‘Az-hibil Basa Rabbannasi Washfi Antash Shaafi Laa Shifaa‐a Illa Shifaa oka Shifaa‐al Laa Yugaadiru Saqamann’

Tarjumah: Aey Insano’n Ke Rabb! Beemari Ko Door Kar Aur Shifaa de. Tu Hi Shifaa Dene Waala Hai. Teri Shifaa Ke Siwaa Koi Shifaa Nahi Aisee Shifaa (de) Jo Kisi Beemari Ko Nahi Chodti.’

1f4da📚Sahih al Bukahri: al Tibb, Hadith-5750 ; Sahih Muslim: al Salaam, Hadith-2191.

1f4a0💠Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: ‘Jab kisi musalman ko takleef (museebat ya nuqsaan) paho’nchey to wo ye kahe:

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm