Islamic Blog

Janaze Ko Kandha Dene Ka Sawab

Hadees:

Jo Janaze Ko 40 Qadam Lekar Chale Uske 40 Kabirah Gunah Mita Die Jaate Hain

Hadees Shareef Me
hai
Jo Janaze K Chaaro Paayon Ko Kandha De ALLAH Uski Hatmi
{Yani Mustaqil} Maghfirat Farma Dega
[Durre Mukhtar Jild 3 Page 158,159
Bahare Shariyat Jild 1 Page 823]

 

Janaze Ko Kandha Dene Ka Tareeqa

janaze ko kandha Dena Ibadat He Sunnat Tareeqa Ye Hai
Ki Ek Ek Karke
Chaaro Paayon Ko Kandha Dein Aur

Har Baar 10,10 Qadam Chale Poori Sunnat Tareeqa Ye He Ki Pahle Seedhe Sirhaane Kandha Dena
Shuru Kare
Fir Seedhi Payiti (Yaani Sidhe Paaun Ki Taraf) Fir Ulte Sirhaane Fir Ulti Payiti Aur 10,10 Qadam Chale To Kul 40 Qadam Huwe
{Fatawa e Alamgiri vol 1 Page 162 Bahare Shariyat Jild 1 Page 822}

 

Kuchh Log Janaze K Juloos Me Eilaan Krte Rahte Hain
2,2 Qadam Chalo Unko Chahie Ki Is Tarah Ka Eilaan Kia Karen
“10,10 Qadam Chalo”

Bachche Ka Janazah Uthane Ka Tareeqa

Chote Bachche K Janaaze Ko Agar 1 Shakhs Hath Par UthaKar Le Chale To Harj Nhi Aur
Ek Ek Karke Log Hathon Hath Lete Rahen
(Fatawa e Alamgiri vol 1 Page 162)

Kya Shohar Bivi ke Janaze Ko Kandha De Sakta hai?

Shohar Biwi Ke Janaze Ko Kandha Bi DeSakta He
Aur Qabar Me Bhi Utaar Skta He
Aur Munh Bhi Dekh Skta He
Sirf Gusal Dene Aur Bila Haail Badan Ko Chhoone Ki Muman’at(Manahidi) Hai Aurat Apne Shohar Ko Ghusal
bhi De Sakti He
{Bahare Shariyat Jild 1 Page 812, 813}

 

Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm