Islamic Blog

JANNAT kya hai…???
jannat aik makaan hai jo Allah ne imaanwalon k liye banaya..is me 100 darje hai har 2 darje me itna faasla hai k jitna zamin or aasmaan k bich me hai or…
hr darja itna bada hai k sari dunya aik darje me ho to bhi usme jaga baqi rahe….
jannat me Allah ne hr trh ka jismaani or ruhaani lazzaton ka saamaan rakkha hai…
jannat aysi hai k uski naemton ko n kisi aankh ne dekha n kisi kaan ne suna n kisi k dil me us ka khyal guzra…
sabse badi naemat jo musalmaano ko us roz milegi wo Allah ka didaar hai…jise Allah ka aik bar didar hoga wo hamesa usi zauq me duba rahega…
Mafhume Hadis…
Aaqa….alyhissalaam…frmate hai..
Meri ummat se 70000 bagair hisaab jannat me dakhil honge or..
un k tufail me hr aik k sath 70000 honge or…..
Allah un k sath 3 jamaatein or kr dega malum nhi hr jamaat mein kitne honge…
DOZAKH..jahannam kya hai…?
1f539🔹Allah ne gunahgaaron or kaafiro k azaab or saza k liye aik jagah banayi jis ka naam jahannam hai or dozakh bhi kehte hain…..
1f538🔸usme 70000 wadi ( jungle ) hai.
1f538🔸har wadi mein 70000 ghaatiyan…
1f538🔸har ghaati mein 70000 bichchu or 70000 azdhe hai…
1f539🔹dozakh me har trh k azaab or taklif dene wale azaab rakkhe hai jin ko soch kr hi rongte khade ho jaate hain…..
usme Aag Ka azaab hai sakht sardi ka azaab hai zehrile jaanwaron ka azaab hai…aadmi or patthar us ka indhan hai uski aag bilkul kaali hai usme roshni nhi hai…
1f539🔹musalmaan kitna bhi gunahgar ho kisi n kisi trh najaat paa jaayega or jannat me jaayega.
agr kisi wajah se jahannam me gaya bhi to Aaqa ki shfaat ya Allah k fazl se jannat mein dakhil kr diya jayega or fir kabhi jannat se nikala na jaayega…
1f539🔹kaafir or mushrik hamesha dozakh me rahenge or aakhir me kaafir k liye ye hoga uski hight k barabar aag k sanduq me use bnd kr k aag k dusre sanduq me rakh kr aag ka taala laga diya jaayega or hamesa wahin rahega..

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm