Jannat ek makaan hai jise ALLAH T’ALA ne Eimaan walo ke liye banaya hai Usme Aisi -2 Ne’amatein rakhi gai hai Jinko na Aankhon ne dekha,Na Kaano ne Suna,Aur na koi un Ne’Amaton ka gumaan kar sakta hai,
Yani Be Dekhe warna dekh kar to aap hi Janenge,To jinhone Duniyawi Hayaat me Mushahada kiya woh is hukm se Alag hain,
Khas kar HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM Is liye jannat ki koi Misaal di hi Nahi jaa Sakti Kyu ki KA’ABA SHAREEF jannat se A’ala hai aur HUZOOR E ANWAR SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM ki TURBAT to KA’ABA SHAREEF Balki ARSH se bhi afzal hai magar yeh duniya ki cheezein nahi,
Haan jinhone ALLAH ke karam se apni Duniyawi zindagi me jannat ko dekha woh jante hain ki jannat me kya kya Cheezein hain aur usme kitna aaram hai,
Jannat ki koi aurat agar zameen ki Taraf Dekh le to zameen se aasman tak Roshan ho jaye, Chand sooraj ki roshni Mand Pad jaye aur poori duniya uski khushboo se bhar jaye,
Ek riwayat me yeh bhi hai ki Agar HOOR Apni Hatheli zameen aur Aasman ke Beech Nikale to sirf hatheli ki khubsoorti ko dekh kar log fitne me pad Jayenge,
Agar jannat ka ek zarra Barabar bhi cheez duniya me aa jaye to Aasman zameen sab me Sajaawat Paida ho jaye,
Jannati ka kangan chand sooraj aur Taaron ko mand kar de,
Jannat ki thodi si jagah Jisme korha Rakh sakhein woh poori duniya se behtar hai,
Jannat ki lambaai Chorhaai ke baare Me Kisi ko Kuch pata nahi, ALLAH aur USKE RASOOL SALLAHU ALAYHI WASALLAM behtar jante hain.
ALLAH HUM SABKO JANNAT ME KHANDAN E AHLE BAIT KE QADMO ME JAGAH ATA FARMAE…
Jannat me jannatiyon ko har Qism ke Mazedaar khane Milenge aur jo Chahenge Fouran Unke Samne Moujood ho Jayega,
Agar jannati kisi Chidhiyein ka gosht Khana Chahenge to Usi waqt Bhoona hua gosht uske samne aa jayega,
Agar koi pani Peena chahe to pani ka Kuzaa (pyala) Uski Pyas ke Mutabiq Uske paas aa jayega,Zaroorat se na ek boond kam hoga na ek boond zyada,peene ke baad woh aabkhora (pani peene ka bartan) khud uske paas se chala jayega,
Jannat Me Najaasat, Gandagi, Pakhana,Peshab,Thook,Renth,Kaan ka meil aur Badan Meil Wagairah koi gandagi nahi hogi,Jannati logon ko peshab pakhana nhi hoga,Sirf ek khusboodaar aur Farhatbakhsh Dakaar aur khusboodaar Paseena Nikalega,
Jannatiyon ka khaya hua sab hazam ho Jayega aur Nikale Hue Paseene aur Dakaar ki Khushboo Mushk ki hogi,
Har aadmi ki khuraak 100 Aadmiyon ki hogi Aur har Ek ko 100 Biwiyon ke Rakhne ki Taaqat di jayegi Har Waqt zuban se Tasbeeh wa Takbeer wagairah bina iraade ke,Bina Mehnat ke jaise saans chalti hai usi tarah Aadmi ki zaban se ALLAH ki Tasbeeh aur jaari rahegi,
Har Jannati ke sahrane 10000 Khaadim Khade honge,In Khadimon ke ek hath me chandi ka Pyala aur Dusre hath me sone ka PyaLa hoga Aur har payale me nai nai Ne’amtein hongi,
Jannati jinta khata jayega un cheezon ki lazzat badti jayegi,Har luqme aur Niwaale me 70 Maze honge,Har Ek maza Alag -2 Hoga aur Jannati sabko ek sath mahsoos karenge,
Na to Jannatiyon ke kapde MEile honge Aur na Unki jawaani Dhalegi,
Jannat me jo pahla giroh jayega unke chehre choudhwi Raat ke Chand ki tarah chamakte honge,
Dusre giroh woh jaise koi Nihayat Roushan Sitara,Jannatiyon ke dil me koi bhed bhav na hoga,Aapas me ek Dil honge Jannatiyon me har ek ko khaas hooron me se kam se kam 2 Biwiyaan milengi ki 70, 70 jode pahne hongi fir bhi un Jodo AuR gosht ke bahar se unke Pindaliyon ka gudaa dikhaai dega jaise safed gilaas me surkh (Red) sharab dikhaai deti hai,
Yeh is liye ki ALLAH ne un hooron ko Yakoot ki tarah kaha hai aur yakoot me Agar Chhed Karke Dhaga dala jaye to Zaroor bahar se dikhaai dega,
Aadmi apne chehre ko Unke Rukhsar Me Aaine se Bhi Zyada Saaf Dekhega,
Uske rukhsar par Mamooli Moti hoga lekin us moti me Itni chamak hogi ki Usse Poorab se Pashchim Tak Roushan ho jayega,
Jannat ka kapda duniya me pahna jaye To use dekhne Wale Behosh ho jaye,
Mard jab jannat ki auraton ke paas Jayega to unhe har Bar Kunwari Payega magar Iski wajah se Mard Aurat kisi ko koi Taqleef na hogi,
Hooron ke Thook Me Itni Mithaas hogi ki agar koi hoor Samundar me Ya 7 Samundar me thook de to saare.samundar shahad se zyada mithe ho jayenge.
Mukhtasar yeh hai ki Jannat me 100 darje hain,
Ek darje se Dusre darje me itni doori hai ki jaise zameen se Aasmaan Tak,
Tirmizee shareef ki ek Hadees ka Matlab yeh hai ki Jannat ke ek darje me agar sara aalam samaa jaye to fir bhi jagah baqi rahegi
Jannat me ek itna bada Pedh(TREE) hai ki Agar use Saaye me koi 100 baras tak tez Ghodhe se chalta rahe to bhi woh sayaa khatm nhi hoga,
Jannat ke Darwazon ki chourhaai itni hogi ki uske ek seere se Dusre seere Tak tez Ghodhe se 70 saal ka rasta hoga,
Fir bhi jannat me jane wale itne zyada Honge ki Modhe se Modhe chhalta hoga balki bheedh se darwaaze charcharaane lagenge,
Jannat me Tarah Tarah ke saaf soothre Aise mahal honge ki Andar ki cheez Bahar se Aur bahar ki cheez andar se dikhaai dengi,
Jannat ki deewarein sone chandi ki into aur Mushk ke Gaaron se bani hain,Zameen zaafran ki hogi,kankariyon ki jagah moti aur Yakoot honge,
Ek riwayat me yeh bhi hai ki jannati A’adan ki ek Int Safed Moti ki, Ek laal Yakoot ki aur ek hare zabarjad ki aur mushk ka Gaara hai,
Ghaas ki jagah zafraan aur Ambar ki Mitti hai,
Jannat me ek khema hoga jiski Unchaai 60 Meel ki Hogi, Jannat me Pani,Doodh,Shahad aur Sharab ki 4 Dariyaayein hai Unse Naharein nikal kar har ek jannti ke Makaan me bah Rahi hai jannat ki Nahrein zameen khos kar nhi balki zameen ke upar jaari hain,Nahron ka ek kinara moti ka dusra yakoot ka un Nahron ki zameen khalis Mushk ki hai,
Jannat ka sharab duniya ki sharab ki Tarah nhi jisne kaarwaahat,Badboo,Aur Nasha hota hai aur use log peekar behosh ho jate hain aur Aape se bahar hoka Gali Galoj bakte hai,
Jannat ki sharab in baaton se paak hai.
Jab koi aadmi jannat me jayega to uske sarhane aur Paitaane 2 hoorein bahut zyada achi aawaz se gana gayengi..Magar Unka Gana dhol baajon ke sath Nahi hoga balki woh apne gaanon me ALLAH ki ta’areef karengi..
Unki Aawaz me Itni Mithas hogi ki kisi ne waisi aawaz na suni hogi aur woh yeh bhi gayengi ki hum humesha Rahne Waliyan hain kabhi na marenge,
Hum chain waliyan hain kabhi Taqleef me na padenge aur hum Raazi hain Naraaz na honge aur yeh bhi kahengi kI uske liye mubarak baad jo humara aur hum uske ho,
Jannatiyon ke sar palakon Aur Bhawo ke Alawa kahin baal na honge,
Unki Aakhein surmangi hongi, 30 baras se zyada koi Maloom na hoga Mamooli Jannati ke liye 80000/- Khaadim Aur 70000/ biwiyan hongi,
Aur unko aise taaj diye jayenge ki Usme ke kam darje ke moti se bhi Poorab se pashchim tak chamak ho Jayegi.
Agar koi Yeh chahe ki UskI Aulaad ho to aulaad hogi lekin Aan ki Aan me bachcha 30 ka ho jayega Jannat me na nind Aayegi, na koi marega,
Har jannati jab jannat me jayega to Usko Uske nek kaamo ke Mutabiq Martaba Milega aur ALLAH ke karam ka koi shumaar nahi,
Fir jannatiyon ko ek hafte ke baad Ijaazat di jayegi ki woh apne Parwardeegar ki ziyarat karein,
Fir ALLAH ka Arsh zahir hoga aur ALLAH T’ALA Jannat ke Baagon me se Ek Baag me tajallee farmayega jannatiyon ke liye Noor ke,Moti ke ,Yakoot ke,Zabarjad ke,Sone ke,Aur Chandi Ke Mimber Honge,aur kam se kam darje ke jannati Mushk aur Kaafoor ke teele par baithenge.
Aur Unme Aapas me adnaa aur a’ala koi na hoga KHUDA ka deedar Aise Saaf hoga jaise Sooraj aur choudhwi ke raat ke chand ko har ek apni jagah se dekhta hai.
ALLAH ki tajalli har ek jannati par hogi ALLAH T’ALA un jannatiyon me se kisi ko uske gunah yaad dilaa kar farmayega ki ai Falaa’n ke ladke Falaa’n tujhe yaad hai..
[Ek Baat Yahan par main kahna chahunga,ki
Jannat main bhi hume humare Ammi Abbu ki taraf se Bulaya Jayega na ki Direct Hume,
Is liye apne maa-baap ki nafarmani sebaaz aaye ki jis din tune aisa aisa kiya tha ?
Banda jawab dega ki YA ALLAH kya tune mujhe bakhsh nhi diya tha?
ALLAH farmayega ki haan meri magfirat ki wus’at ki wajah hi se tu is Martabe ko pahuncha hai,
Woh sab isi haalat me honge ki baadal chha jayenge aur un par aisi khushboo ki barish hogi ki un logon ne aisi khushboo kabhi na paai hogi,
Fir ALLAH farmayega ki us taraf jaao jo maine tumhare liye izzat taiyyar kar rakhi hai,Usse jo chaaho le lo,
log fir ek aise bazaar me pahuchenge Jise firishton ne gher rakh hoga aur Unme aisi cheezein hongi ki na to aankhon ne dekha hoga na kaanon ne suna hoga aur na un cheezon ka kisi ne kabhi dhyan kiya hoga,
Jannati Usme se jo cheez pasand karenge unke sath kar di jayegi jannati jab aapas me ek dusre se milenge aur chhote rootbe wala,Bade Rootbe wale ke libaas kn dekh kar pasand karega to abhi baatein khatm bhi na hongi ki chhote martabe wala apne kapde ko bade martabe wale se Acha samajhne lagega yeh is liye ki Jannat me kisi ke liye gum nahi,
Fir wahan se apne-apne Makaanon ko Waapas aayenge,Unki Biwiyaan Unka Isteqbaal karengi Aur Mubarak Baad de kar kahengi ki Aapka Jamaal Yani khubsoorti pahle se Bhi kahin zyada bad gai hai,
Woh jawab dega q ki humein ALLAH ke darbaar me haziri naseeb hui is liye humein aisa hi hona chahiye.
Jannati jab aapas me ek dusre se milna chahenge to Iske 2 tareeqe honge,
Ek Yeh ki Ek ka Takht Dusre ke Paas chala Jayega, Dusri Soorat Yeh hogi ki Jannatiyon ko bahut ache Qism ki Sawaariyaan jaise Ghodhe Wagairah diye Jayenge ki Un par Sawaar Hokar jab chahe aur jahan chahe chale jayenge,
Sabse kam darje ka woh Jannati hai ki Uske baag, Biwiyaan, Khadim Aur Takht Itne zyada honge ki hazaar baras ke safar tak ki tak yeh Tamaam Cheezein Faili hui hongi,
Un Jannatiyon me ALLAH ke Nazdeeq Sabse Izzat wala woh hai jo Uska Deedaar Subah Shaam Karega,
Jannati jab jannat me pahunch jayenge aur jannat ki Ne’amatein unke samne hongi aur jannat ke chain wa aaram ko jaan jayenge to ALLAH TABARAK WA T’ALA unse puchhega ki kya kuch aur chahte ho? To woh kahenge ki
YA ALLAH Tune humare chehre Roushan kiye jannat me Daakhil kiya aur Jahannam se najaat di,
Us waqt Makhlooq aur Bande par Pada hua parda Uth jayega aur unhe ALLAH ka deedar naseeb hoga,Deedare ILAAHI se badhkar koi cheez nahi,
Aaiye Hum aur aap HUZOOR SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM ke waseele se ALLAH ke deedar ki bheekh mange,
” ALLAHUMMAR ZUQNA ZIYARATA WAJHIKALKARIM BIJAAHI HAEEBIKAR RA,OOFIR RAHEEM A’ALEIYHIS SALAATU WAT TASLEEM AAMEEN “
Tarjama :-
YA ALLAH, HUMKO APNE MAHBOOB SALLALLAHU T’ALA ALEYHI WASALLAM JO RA,OOF O RAHEEM HAIN UNKE WASEELE SE APNA DEEDAR NASEEB FARMA AAMEEN.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017