Islamic Blog

» Hadees : Jannat Ka Khazana «
Rasool’Allah (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke –
“La Houla Wala Quwa’ta Illa Billah Hil Ali Yel Azeem” Ye Jannat Ke Khazano Me Se Ek Khazana Hai,
Dusri Riwayat Me Aata Hai Ke ‘Ye Kalma 99 Bimaariyo Ki Dawa Hai’ Jis Me Se Halki Bimaari Ranj-O-Gam Aur Pareshani Iss Ko Parhne Se Door Ho Jati Hai”.
– (Tirmizi Shareef)

(“La Houla Wala Quwa’ta Illa Billah Hil Ali Yel Azeem”
Tarjuma : “Koi Quwat Nahi Bachane Wali Siwaye Allah Ke Jo Azeem-Tar Hai”)

» Adab : La Houla Wala Pura Parhana Hi Sahi Hai, Kyunki Iska Aadha Parhna Allah Ke Qudrat Ki Naframani Hai Jaise “La Houla Wala Quwa’ta” Yani Koi Kuwwat Nahi Bachane Wali. Lihaza Hamesha Parhe Tou Pura Kalma Hi Parhe. Kyunki Wo Quwwat (Allah) Hai Bachane Wali Jo Har Cheez Par Qadir Hai Jo Azeem-Tar Hai ..

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm