Islamic Blog

HADEES:-
*********
Hadees Pak May Hain Ki Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Irshad Farmaya Ki Tumeh Jannati Aurat Ke Baare May Na Bataoun? To Sahaba Ne Arz Kiya, Aye ALLAH Ke Nabi Zaroor Batayen! To Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya Ki Har Wo Aurat Jo Shoher Se Bahoat Mohabbat Karne Wali, Zyada Bacche Janne (Paida Karne) Wali, Jab Uska Shoher Naraaz Ho To Wo Apne Shoher Ke Hath May Hath Deker Kahe Ki Us Waqt Tak Is Jagah Se Nahi Hilungi Jabtak Ki Aap Mujhse Raazi Nahi Hojayege!
To Jitni Bhi Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIhI-WASALLAM Ne Nishaniyan Batayin Ki Jannati Aurat Wo Hoti Hain Ki Jo Shoher Se Be-Panah Mohabbat Karne Wali Ho, Aulaad Wali Ho Aur Agar Kabhi Uska Shoher Kisi Baat Per Naraaz Ho To Wo Apne Shoher Ke Hath May Apna Hath Deker Kahe Main Tumahri Hoon Aur Yahan Se Nahi Hatungi Jabtak Ki Aap Mujhse Raazi Nahi Hojayege, Is Tarah Manalen!
Yeh Manane Ka Amal ALLAH-TA’AALA Ko Itna Pasand Hain Ki ALLAH Ke Mehboob Ne Jannati Aurat Ki Pehchaan Batayi Aur Aajkal Ki Kayi Biwiyan Aisi Baat Karti Hain Ki Jaan-Bujker Khawindh Ko Sataati Hain, Uska Dil Dukhati Hain! Un Auraton Ko Jannat Ki Hawa Bhi Nahi Lagegi!

(Sukoon-A-Khana, Pg-130-31)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm