Islamic Blog

Khatib Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyallahuAnhu Se Raavi Hai Ki Hum Log Ek Safar Me Rasoollallah SallallahuAlaiWaAalehiWasallam Ke Sath The,
Aap Ek Khajur Ke Darakht Ke Niche Tashrif Farma The Ki Bilkul Hi Achanak Ek Bahut Bade Kaale Saanp Ne Aap Ki Taraf Rukh Kiya, Logo Ne Use Maar Dalne Ka Irada Kiya, Lekin Aap SallallahuAlaiWaAalehiWasallam Ne Farmaya Ki Isko Mere Paas Aane Do.
Jab Wo Aap Ke Paas Pahuncha To Apna Sar Aapke Kaan Mubarak Ke Paas Kar Diya, Fir Aapne Us Saanp Ke Munh Ke Karib Apna Munh Karke Chupke Chupke Kuchh Irshad Farma Diya.
Iske Baad Usi Jagah Achanak Wo Saanp Is Tarah Gaayab Ho Gaya Jaise Ki Zamin Usko Nigal Gayi.

Hazrat Jabir Kehte Hai Ki Hum Logo Ne Arz Kiya Ki Ya Rasoollallah !
Aap Ne Saanp Ko Apne Kaano Tak Pahunchne Diya, Yeh Manzar Dekh Kar Hum Log Dar Gaye Ki Kahi Saanp Aap Ko Kaat Na Le.

Aap SallallahuAlaiWaAalehiWasallam Ne Farmaya Ki Yeh Saanp Nahi Tha Balki Jinno Ki Jamat Ka Bheja Hua Ek Jinn Tha, Fulaan Surat Me Se Kuchh Aayate Bhool Gaya Tha, Un Aayato Ko Daryaft Karne Ke Liye Jinno Ne Isko Mere Paas Bheja Tha, Maine Usko Wo Aayate Bata Di Aur Wo Unko Yaad Karta Hua Chala Gaya.

~[ Seerate Mustafa Baab : 20 Page : 608 ]

“Uski Baato Ki Lajjat Pe Lakho Darood..
Uski Dilkash Balagat Pe Lakho Salam”

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm