Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: Jo log Apne Maal ALLAH ki Raah mein kharch karte hain phir kharch karne ke baad na ehsaan rakhte hain na takleef dete hain ,
unke liye Apne RAB ke yahan sawab hai aur unko na koi darr hai aur na wo gamgeen honge.

Surah Al-Baqara (2), 262
.
.
Al Quran : Aur usmein se kharch karo jo humne tumhe rozi di hai is sey pahle ki kisi ko tum mein se maut aa jaye to kahey ki Eh mere Rab tune mujhe thodi muddat ke liye Dheel kyun na di ki main khairat karta aur naik logon mein ho jata.

Surah Al-Munafiqoon (63), verse 10
.
.
Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kharch kiya kar, gina na kar taki tumhe bhi gin ke na mile aur jod ke(chupa ke) na rakho taki tumse bhi ALLAH taala (Apni naimaton ko) na chupa le.

Sahih Bukhari, Vol 4, 2591
.
.
Hadith: Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya,
koi din aisa nahi jata ki jab bande subah ko uthtey hain to do farishte aasman se na utarte ho, ( yani har roz do farishtey subah ko aasman se utartey hain) unmein se ek farishta ye kahta hai ki Eh ALLAH kharch karne wale ko iska badla de aur dusra kahta hai ki eh ALLAH bakhil (kanjus) ko tabah kar de.

Sahih Bukhari, Vol 2, 1442

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm