!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Al-Quraan : “Aur Jo Log Apni Biwiyon Ko Maa Keh Baithey Phir Apney Qaul Se Ruju Kar Le Toh (Unko) Humbistar Honey Se Pahley Ek Ghulaam Aazad Karna (Jaruri) Hai (Momino) Iss Hukm Se Tumko Naseehat Ki Jati Hai Aur Jo Kuch Tum Kartey Ho Khuda Uss Sey Khabardar Hai Jisko Ghulaam Na Miley Wo Do Mahiney Ke Rozey Rakhey Iss Sey Pahley Ki Ek Dusrey Ko Chuye, Jo Koi Aisa Bhi Na Kar Sakey Toh 60 Miskeeno Ko Khana Khilaye Ye Iss Liye Ki Tum Allah Aur Uskey Rasool Ke Farmabardar Ho Jao Aur Ye Allah Ki Hadein Hain Aur Na Manney Walon Ke Liye Dardnaak Azab Hai.
– [Al Quran, Surah Al-Mujadila (58) Verse 3-4]
» Hadees : Khuwaylah (Malik Ibn Tha’labah Ki Beti) Radi Allahu Anhuma Se Rivayat Hai Ki Mere Shohar Aws Bin Samit (Razi Allahu Anhu) Ne Mujhse Zihar Kiya (Yaani Mujhe Maa Keh Kar Pukara) Isliye Mai Rasool’Allah (Sallallahu Alihi Wasallam) Ke Pass Unki Shikayat Lekar Hazir Huyee Toh Rasool’Aallah (Sallallahu Alihi Wasallam) Mujhse Baat Karney Lagey Aur Kaha Ki “Allah Ki Farmabardaar Bano Aur Wo (Ab) Tera Chacha Zaad Bhai Hai!”
Mai Wahi Par Khadi Rahi Yahan Tak Ki Quraan Ki Ye Aayat Nazil Huyee” ..
Al-Quraan : “Beshaq Allah Ne Uss Aurat Ki Baat Sun Li Hai Jo Aap Se Apney Khawind Ke Baarey Me Bahas Kar Rahi Thi”. – (Al Quran 58:1)
Iss Aayat Ke Nuzul Ke Baad Aap (Sallallahu Alihi Wasallam) Ne Farmaya “Tera Shohar Ek Ghulaam Aazad Karey!”,
Toh Mainey Kaha Ki “Uski Taaqat Nahi Hai”
Toh Aap (Sallallahu Alihi Wasallam) Ne Farmaya “Phir Lagatar Do Mahino Ke Rozey Rakhey!”
Maine Kaha Ki “Wo Bahut Budha Hai Usmein Rozey Rakhney Ki Taqat Nahi Hai”
Farmaya Ki “Phir Wo 60 Miskeeno Ko Khana Khilaye!”
Mainey Arz Kiya Ki “Uskey Pass Wo Bhi Nahi Hai!”
Tabhi Khajuro Ka Ek Thaila Aaya Toh Mainey Arz Kiya Ki “Ya Rasool’Aallah (Sallallahu Alihi Wasallam) ! Main Isko Dusra Khajuro Ka Thaila De Dungi Toh Aap (Sallallahu Alihi Wasallam) Ne Farmaya “Thik Hai Isey Le Ja Aur Uski Taraf Se 60 Miskeeno Ko Khila De Aur Tere Chacha Ke Betey Ke Paas Rah”.
– (Sunan Abu Dawud, Vol2, Hadith 447)
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017