Islamic Blog

HAZRAT ANAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHU BAYAN FARMATE HAI :

“EK DARJI NE RASOOL E PAAK SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KO KHANE KI DAWAT DI.
AAP FARMATE HAI KI MAI BHI HUZUR E PAAK KE SATH GAYA,.

JAU KI ROTI AUR RASAA HUZUR E AQDAS KE SAMNE LAYA GAYA, USME LAUKI (Gourd) AUR SALTY GOSHT THA.

KHATE WAQT MAINE DEKHA KI HUZUR E PAAK PYALE KE KONE SE LAUKI KE TUKDE KHOJ RAHE RAHE HAI.
ISLIYE TAB SE MAI LAUKI KO PASAND KARNE LAGA.

Yani Ki Sarkar E Madina Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Koi Cheez Pasan Aati To Sahaba Bhi Use Pasand Karte The Aur Apni Pasand Pe Nabi E Karim Ki Pasand Ko Afzaliyat Dete The.

>>>
Hazrat Imam Abu Yusuf Rehmatullah Alayhi Ke Samne Jab Ye Rivayat Bayan Ki Gayi Ke : Huzur E Paak Sallallahu Alayhi Wasallam Lauki Pasand Farmate The.

Mehfil Me Se Kisi Ne Kahan : Lekin Muze Pasand Nahi !

Ye baat Sunkar Hazrat Imam Abu Yusuf Ne Talwar Nikali Aur Farmaya :
Fir Se Musalman Ban, Nahi To Tujhe Yaqinan Qatal Kar Dunga. !

>>>
Lauki khana sunnat e mo’akkeda nahi, bas sirf itna ki Sarkar e madina ne use khayi aur use khana pasand farmaya, lekin kehne wale itna hi kahan ki mai use khana pasand nahi karta to ye sun kar Hazrat Imam abu yusuf ne use fir se kalma padhne ka huqm diya kyun ki uske aisa kehne se Sunnat ki Be qadri hoti Hai.

Agar koi nahi khata to gunahgar nahi.

Kisi sunnat ki be qadri karna ya Halqa samajna kufr hai.

Allah Ta’ala Hum Sab Ko Huzur E Aqram Noore Mujassam Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Sunnato Ka Paband Banaye Aur Unki Be Adabi Se Bachaye.

=> MISHKAT SHAREEF
=> MIRKAT SHARHE MISHKAT
=> TOHFA E NAJAT
PART-6 PAGE-195

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm