Allah ne hum par 5 time ki namaz farz ki hai, agar hum ye namaz nahi padhte hain to humko gunah hota hai, aur Allah ke yaha jawab dena hoga. Wese to namaz ko uske time par hi padhna chahiye, agar namaz kisi majburi se time par na padh paae to isko baad mein padh lijiye, is tarah humko time par na padhne ka gunah to hoga lekin farz ada ho jaega, jiska jawab Allah ke yaha humko dena hai. apni zindagi mein nahi padhi namaz (kaza) bhi padh sakta hai, is tarah namaz padhne ko ‘kaza e umri’ namaz kahte hain. har insan ko apni zindagi ki kaza hui namaz ko pura karna chahiye. Iska hisab insan tab se lagae jab se wo bada hua hai, matlab ladki 13 saal aur kareeb ladka bhi itne saal mein hi baalig ho jata hai, aur iske baad namaz farz ho jaati hai, isliye insan jabse baalig hua hai tab se aaj tak ki namaz ka ek andaza laga le ke uski kitne time ki namaze kaza hui hain, jese maan lo 13 saal mein koi baalig hua aur uski umar aaj 23 saal hai to ek andaza laga le 10 saal mein usne kitni namaz kaza ki hongi, agar andaza thoda zyada hi laga le to bhi faida hi hai, zayada namaz padh lega to wo namaz nafil namaz ban jaegi, aur uska sawab bhi milega, lekin kam andaza lagane mein farz namaz na chhot jaae isliye thoda zyada hi andaza laga lo. phir jab bhi time mile, kaza namaz padhta rahe aur usko note karta rahe ke usne kitni kaza namaz padh li hain aur kitni baaki hain. insan puri kaza namaz to ek saath nahi padh sakta. isliye sabse aasan tarika hai ke jab fajar ki namaz padhe to usse pahle 2 rakat farz ‘kaza e umri’ fajar ki bhi padh le, jab zohar ki namaz padhe to zohar ki namaz se pahle ya baad mein zohar ki ‘kaza e umri’ namaz padh le, is tarah din ki 5 time ki namaz ke saath saath uski 5 time ki kaza e umri namaz bhi ada hoti jaegi, aur agar uski 2 saal ki kaza e umri namaz hain to 2 saal mein uski kaza e umri puri ho jaengi. ‘kaza e umri’ namaz padhne ke saath saath namaz kaza karne ki Allah se maafi bhi maangta rahe. kaza namaz bhi wese hi padhte hain jese hum dusri namaz padhte hain, bas niyat is tarah kar lijiye – jese agar fajar ki 2 farz ki kaza e umri ki namaz padh rahe hain to (niyat karti/karta hu mein 2 rakat namaz farz, kaza e umri fajar ki, waqt (jo bhi ho), khaas waaste Allah taa’ala ke liye, muh mera kaaba shareef ki taraf). ‘Kaza e umri’ namaz mein humko sirf ‘farz’ aur witar namaz hi padhna hai, sunnat aur nafil nahi, jese fajar ki (2 farz), zohar ki (4 farz), asar ki (4 farz), maghrib ki (3 farz), isha ki (4 farz aur 3 witar) Allah hum sabko roz 5 time namaz, time par padhne ki taufik ata kare, aur jo namaz rah gai hain unko pura karne ki taufik de, aur namaz kaza karne ki gunah ko maaf kare, aameen.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022