Islamic Blog

*MAS’ALA 1f31f🌟 Jo Pani Dhoop Se Garam Ho Jaye Us Se Wazu Wa Gusl Karna Mana Hai Is Liye Ki Us Se Bars (Yani Safed Dag Ka Marz Hone Ka Andisha) Hai Hadis Sharif Me Hai
*عن عائشہ رضی اللہ عنہا قالت اسخنت ماء فی الشمس فقال النبی صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم لا تفعلی حمیراء فانہ یورث البرص*
Yani Hazrat Aayesha Razi’Allahu Anhuma Se Riwayat Hai Ki Wo Farmati Hain Ki Maine HUZOOR ﷺ Ke Liye Dhoop Se Pani Garam Kiya To Aapne Farmaya Ai Hamaira’a Aainda Aisa Na Karna Ki Us Se Bars Paida Hota Hai
(Bahiqi Sharif Jild 1 Page 11)

Aur Dusari Hadis Sharif Me Hai
*قال عمر رضی اللہ تعالیٰ عنہ لا تغسلو ابالماء المشمس فانہ یورث البرص*
Yani Hazrat Umar Farooq Razi’Allahu TaAla Anhu Ne Farmaya Ki Dhoop Se Garam Shuda Pani Se Gusl Na Karo Ki Us Se Bars Paida Hota Hai
1f4d7📗(Bahiqi Sharif Jild 1 Page 10)

1f343🍃Aur Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddis E Barelvi Razi’Allahu Anhu Tahrir Farmate Hain Ki Dhoop Ke Garam Pani Se Mutlaqan Wazu Sahi Hai Magar Garam Mulk Garam Mausam Me Jo Pani Sone Chandi Ke Siwa Kisi Aur Dhaat Ke Bartan Me Dhoop Se Garam Ho Jaye Wo Jab Tak Thanda Na Ho Le Badan Ko Kisi Tarah Pahuchana Na Chahiye Wazu Se Na Gusl Se Na Pine Se Ma’azAllah Ahtamal Bars Hai
1f4d7📗(Fatawa Razviya Jild 1 Page 412)
Aur Aisa Hi Bahare ShariAt Jild 2 Page 49 Par Bhi Hai
1f4da📚 *Fatawa Faqihe Millat,,Jild,,1,,Page,,73,,74*

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm