Islamic Blog

Shuru Allah k Naam se: Aye wo Logon jo Iman Laye hon! Juma k din Namaz ki Azan di Jaye to tum Allah k Zikr ki Taraf Doud pado Aur Kharid o Faroqt Chordo, ye Tumhare haq me Bahot hi Bahter hai Agar tum Jaante ho. Phir jub Namaz ho chuke to zameen me Phail jao aur Allah ka Fazl talash Karo Aur ba kasrat Allah kazikr kiya karo ta k tum Falah palo.(Surah:Al-Jumu’ah: Surah No:62: Aayat No: 9-10)

O ye who believe! When the call is proclaimed to prayer on Friday (the Day of Assembly), hasten earnestly to the Remembrance of Allah, and leave off business (and traffic): that is best for youif ye but knew. And when the Prayer is finished, then may ye disperse through the land, and seek of the Bounty of Allah: and celebrate the Praises of Allah often (and without stint): that ye may prosper. (The Holly Quran – Chapter 62, Al-Jumu’ah – Verse 9-10)

*****************{ Aamale Juma}*****************

Yani Juma k wo Aamal jin ki Hadise Paak me Kaas Fazilat Aai hai Aur in per Amal Karne se Har Har Qadam per Aik saal Nafl Namaz Aur Aur aik Saal Nafl Roza ka Sawab Milta hai.
(Riwayat kiya Is ko ImamTirmizi,
Imam Abudawood, Imam Nasai,
Imam Ibn-e Maja, Rahmatullahi Aali Ne).

Mulla Ali Qari Rahmatullahi aali ne Murqata Sharhe Mishkat me Baaz Aa’yimma Hadees se Naqal kiya hai k Aahadees Saheeh me Itni zyada Fazilat kisi aur Amal ki Nahi Aai hai wo 6 Amal ye Hai.
1. Gusul Karna.
2. Masjid Jaldi Jana.
3. Paidal Jana.
4. Imam k Qareeb Baithne ki Koshish karna.
5. Koi Lagu Kaam na karna.
6. Khudba Gour se Sunna.

In k Alawa aur bhi Chnd Aamal hai jin ka Juma k Roze Khaas Ihtemam Karna Chahiye.
1. Surah Kahf ki Tilawat.
2. Darood Shareef ki Kasrat Kumaskum 300 baar.
3. Salatu Tasbeeh Padhna.
4. Dono khutbon k drmiyan jb Imam Member per baithe to dil hi dil me Dua karna.
5. Guroob-e-Aftab se Qabl dua ka Ihtemam karna k us Waqt dua Qabool Hoti hai.

“Juma ki Namaz Chornay per Waeed” Hadees: Log Juma (ki Namaz) chornay se baaz aa jain nahi to ALLAH un k dillon par Mohhar laga day ga, phir wo ghafilon mai se ho jain gay.
(Muslim, Hadees: 2002, Kitab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira R.A)

………………….✿……. H A D E E S …….✿………………….

★ Sab Dino Se Behtar Juma Ka Din Hai.[Sahi Muslim :: Hadees No :: 854]

★ Susti Ki Waja Se 3 Jumay Chorne Wale k Dil Per ALLAH Mohar Laga Deta Hai.. [Abo Daood :: Hadees No :: 1067 AND IbneHabban :: Hadees No :: 553]

★ Juma K Din Gusul Karne Ka Hukum Hai.[Bukhari :: Hadees No :: 894 AND Sahi Muslim :: Hadees No :: 844]

★ Juma K Din Tail (Oil), Khusbu Aur Miswaak Karay.[Sahi Bukhari :: Hadees No 880 And 883].

✿ Hazrath Abu Hurairah Radi allahu anhu se Riwayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya,”Jab Jumaa ka Din aata hai to Farishte Masjid k Darwaze par Aane walon ka Naam likhte hain Sabse Pehle Aane wala Oont (camel) ki Qurbani dene wale ki tarah likha jata hai, Us k baad Aane wala Gaay (cow) ki Qurbani dene wale ki tarahPhir Mainde (sheep) ki Qurbani ka Sawab milta hai , Us k baad Murgi (chicken) ka, Us k baad Ande (egg) ka Lekin jab Imam (Khutba dene k liye) Bahar aa jata hai to ye Farishte apne Daftar Band kar dete hain Aur Khutba sunne main Mashgool ho jate hain.”
[Sahih Bukhari :: Vol 2 :: Hadees 929]

*****************{ Jumah k Din ki Sunnatain}*****************

Hafta me aik din Juma ka din hai, jo Tamam dino ka sardar hai, is din ki baaz Makhsoos sunnatain hai Agar hum in sunnaton per har hafta amal karle to Mahine me kitni sunnatain ada hongi? Juma to har aadmi se guzarta hai aur har aadmi Juma k din se guzarta hai Lekin jis ka juma Sunnaton k ehtemam k sath guzar jaye wo qabile sad tahseen hai.

1.Juma k din gusul karna sunnat hai Huzoor s.a.w ne Irshad farmaya ye wo din hai jis ko Allah Tala ne Eid ka din banaya ps tum is din Gusul karlo.(ibn majah).

2.Juma k din khushbo lagana bhi masnoon hai Huzoor s.a.w ne Irshad farmaya jis k paas Khushbo ho us k liye koi harj nahi k wo khushbo lagaye.(ibn majah)

3.Juma k din miswak karna bhi sunnat hai, Jis ko Allah ne tumhare liye Eid ka din banaya hai ps tum Gusul karo aur tum ko chahiye k tum miswak bhi karo.( tabarani)

4.Juma k din ki Fajr ki Farz Namaz ki 2 rakaton me Surah:alif lam mim sajda, aur surah:daher, padhna bhi masnoon hai.

5.Juma k din Darood sharif ka Kasrat se Padhnabhi masnoon hai, Huzoor s.a.w ne farmaya, Tum log Juma k din mujh per darood ki kasrat kiya karo kyun k Tumhara darood mujh per paish hota hai aur paish hota rahega.(abudawud).

6.Juma k din Namaz ko jane se pehle nakhun katna aur mooch tarashna bhi masnoon hai, Hazrat Abu huraira r.a se riwayat hai k Rasoolullahs.a.w apne nakhun Tarashte the aur Lub (mooch) tarashte the Juma k din Namaz ko jane se Pehle(tabarani).

7.Juma ki Namaz k liye roz marra k kapdo k alawa doosre kapde pahenna bhi masnoon hai.

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai k Rrasoolullahs.a.w ka khas joda tha jo Aap s.a.w Juma k din pehna karte the aur Jub Aap Namaz se farig hoker Tashreef late the to hum us ko theh kar k rakh dete the Aur phir wo Agle Juma hi ko Nikalta tha.(tabarani). 8.Juma k din Namaz k liye Awal waqt jana bhi masnoon hai.

Aamale Juma: Yani Juma k wo Aamal jin ki Hadise paak me khas Fazilat aai hai Aur in per Amal Karne se har har Qadam per Aik saal nafl Namaz aur aur aik Saal nafl Roza ka Sawab Milta hai.
(Riwayat kiya Is ko Imam Tirmizi, Imam Abudawood, Imam Nasai, Imam Ibn-e Maja, Rahmatullahi alaih Ne).

1.Gusul Karna.
2.Masjid Jaldi Jana.
3.Paidal Jana.
4.Imam k Qareeb Baithne ki Koshish karna.
5.Koi Lagu Kaam na karna.
6.Khudba Gour se Sunna.

In k Alawa aur bhi Chnd Aamal hai jin ka Juma k Roze Khaas Ehtemam Karna Chahiye.
1.Surah Kahef ki Tilawat.
2.Durood Shareef ki Kasrat Kamaskam 300 baar.
3.Salatu Tasbeeh Padhna.
4.Dono khutbon k drmiyan jb Imam Member perbaithe to dil hi dil me Dua karna.
5.Guroob-e-Aftab se Qabl dua ka Ehtemam karna k us Waqt dua Qabool Hoti hai.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)