Islamic Blog

* SAWAL : JUMA”ka Naam sabse pahle kisne Rakkha , aur Juma”ke Din ko Juma”kyun kaha jaane laga?
.
=>JAWAB : Juma”ka Purana Naam”Aruba”hai… Sabse pahle is Din ka Naam”Juma Ka’ab Bin Loi”ne Rakha… Aur Kayee Aqwal hain…
(1) Juma”isdin ko isliye bhi kaha jaatahai ke is din Namaz ke liye Jamaato kaIjtima hota hai.
(2) ya is wajah se ke is Din Hazrat Aadam (Alaihissalam) ki paidaish Tamam hui aur Rooh wa Jism ko Jama kiya gaya.
.
* SAWAL : Hafta”ke Dino me se kis Din kya cheez wajud me Ayee?
.
=>JAWAB : Hafta ke Dino me se”Ittuwar”aur”Peer”ke Din Zameen Banayee gayee… Mangal”aur”Bud’h”me Pahadh,Darya,Da rakht, Jandaro ki Giza aur Baqiya Saman paida kiye gaye… Jumrat”wa Juma”me Saton Aasman,Chand,wa Suraj, Sitare,aur Farishte,paida kiye gaye… Ek Qaul hai ke burayiyan”Mangal”ke Din, Noor”Budh”ke din aur Janwar Jumrat ke din paida kiye gaye.
(Ibn-e Kaseer,Parah-21 ,Ruku-04)
Hazrat Nizamuddin Auliya (alaihirrahma) farmate hain ke Barish ki Paidaish”Mangal”ke din hui… Tareeki,or Raushni,”Budh”ke din aur Jannat ki paidaish”Jumrat”ke din hui.
(Malfuzate Khuwaja Nizamuddin auliya,Safa No-16)
.
* SAWAL : Malkal Maut”ko Rooh Qabz karne karne ki Zimmedari kis din Saunpi gayee?
=>JAWAB : Mangal”ke din Maut ke Farishte ko Bandgane Khuda ki Jaan Qabz karne par Muqarrar kiya gaya.
.
*SAWAL : Iblees ko Zameen par kis Din Utara gaya?
.
=>JAWAB : Mangal”ke din Iblees ko Zameen par Utara gaya.
(Hawala Bala)
.
* SAWAL : logo ke woh Amaal jo Saza wa Jaza ke Layeq na ho,woh kis din Aamal Naame se nikale jaate hain?
.
=>JAWAB : Logon ke woh Aamaal jo Saza wa Jaza ke Layeq na ho ,woh”Jumrat”ke Din Naamai Aamaal se Nikaldiye Jate hain.
(Ibn-e Kaseer,Parah-13 ,Ruku-12)
.
* SAWAL : Allah pak Saal bhar ki Balayen ki Maheene me Namzad farmata hai?
.
=>JAWAB : Saal bhar ki jo Balayen Duniya me Nazil hoti hain,Allah pak unhe Safar ke maheene me Namzad farmata hai.
(Malfuzat-e Khuwaja Nizamuddin Auliy,Safa No-185)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm