Islamic Blog

» Jumma Ki Namaz Sabse Pehle 12 Rabi-Ul-
Awwal 1 Hijri Ko Nabi-E-Paak (Sallallahu Alaihi
Wassalam) Ki Imamat Me Parhi Gayi, Jisme
Sahabao Ki Tadaat 100 Thi. (Mohsine Insaniyat
703)
∗ Jumme Ki Mubarakbaad Dene Ka Bhi Ajr
Hai !!
» Hadees: Aye Musalmano Ke Giroh! Beshaq Ye
Jumma Woh Din Hai Jisko Allah Ne Eid Banaya
Hai.(Mishkat Hadees No. 123)
» Hadees: Jisne Jumma Ki Mubarakbaad Di, Uss
Par Jannat Wajib Hai.
» Hadees: Jab Koi Banda Kisi Momin Bhai Ko
Jumma Ki MubarakBaad Deta Hai, Toh Jannat Me
Uske Liye 1 Darakht Laga Diya Jata Hai.
∗ Jumme Ke Din Kasrat Se Duruud Parhe !!
» Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ne Farmaya,Jo Mujhpar Jumma Ke Din
Durood Parhe, Mai Uski Shafa’at Karunga.
(Kanzul Ummat Jild, 1 Safa 225 Hadees : 2236)
» Hadees: Jisne Jumma Ke Din Mujhpar 200 Bar
Durood Parha,Uske 200 Saal Ke Guhaan Maaf Ho
Gaye.(Kanzul Ummal Hadith No. 2238)
» Hadees: Jo Jumme Ke Din Ya Raat 100 Bar
Durood Parhe Uski 100 Hajate Puri Hongi. 70
Aakhirat Me Aur 30 Dunyavi.(Musnad Abu)
∗ Jumme Ki Namaz Na Chhore !!
» Hadees: Jisne Jumme Ki Namaz (2 Rakat Jumma)
Se Pehle, 4 Sunnat Namaz Aur Jumma Ke Baad 4
Sunnat, 2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss Par
Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega.(Tizimi V1
Hadees:410)
» Hadees: Jumme Ki Namaz Ke Liye Azan Di Jaye,
Toh Tum Allah Ki Yaad Ke Liye Chal Pado, Ke
Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
(Bukhari Sharif)
» Hadees: Juma Ki Namaz Jumma Se Juma Tak Ke
Liye Kaffara Hai.Shart Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se
Bacha Jaye.(Muslim Sharif)
» Hadees: Jo Shaks Jumma Ki Namaz Jama’at Ke
Sath Parhta Hai,Allah Uske Liye 1 Maqbool Haj
Ka Sawab Likhta Hai.(Ghuniya-Tul-Taliban)
» Hadees: Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr Ke “3″ Juma
Ki Namaze Chhor Deta Hai,Allah Ta’ala UsKe Dil
Par Mohar Laga Deta Hai (Ibn-E-Maja, Jild-1, Page
No.75)
» Hadees: Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad
Harkat Karta Hai, Ya Pehlu Badalta Hai Woh Lagr
(Bekar) Amal Hai. Khutba Shuru Hone Ke Baad
Batein Karne Wala Ghada (Donkey) Hai.
(Ahmad,Tibrani)
» Hadees: Jumma Ke Din-Raat Me 24 Pal Hai, Har
Pal Me Allah Ta’ala 600 Jahannamiyon Ko
Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai.(Abu Ya’ala)
∗ Jumme Ke Din Khas Tor Se Gusl Kare, Ye
Jumma Ki Sunnato Me Se 1 Hai !!
» Hadees: Nabi-E-Akram (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ne Farmaya,Har Baaligh Par Jumma Ke
Din Ghusl Karna Waajib Hai.(Bukhari J:1 S:121)
» Hadees: Jumma Ka Gusl Aadmi Ke Gunaho Ko,
Uski Baal Ke Jad Se Kheech Leta Hai.(Tibrani)
» Hadees: Jo Shaks Jumma Ke Din Gusl Karke
Awwal Waqt Me Masjid Jaye,Goya Usne Oont
(Camel) Ki Qurbani Ki.(Muslim Sharif)
∗ Duao Ki Qubuliyat Ka Din Bhi Hai Jumma !!
» Hadees: Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Iss
Pal Me Ki Jaye Woh Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs
Jumma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhega Toh Uske
Liye Dono Jumma Ke Darmiyan Ek Noor Chamakta
Rahega.(Nisaai Sharif)
» Hadees: Jumma Ke Din 1 Neki Ka Sawab, 70
Guna (7o Times) Aur Gunaah Karne Ka Azab 70
Guna Se Bhi Zyada Hai.(Mirat Jil 2 Page323)
∗ Jumma Ki Sunnate
» Gusl Karna, Saaf Kapde Pehanna, Khushbu Tel
Surma Lagana, Nakhun Katna, Masjid Jald Jana
Aur Paidal Jana, Sureh Kahaf Parhna, Musafa
Karna Aur Jumma Ki Mubarakbad Dena.
Sabak : Toh Mere Bhaiyo Aur Behno. !! Ye Toh
Sirf Kuchh Hi Fazilate Likhi Hai, Jumme Ki Toh
Itni Fazilat Hai Ke Aap Soch Bhi Nahi Sakte.
Gareebo Ka Hajgho Ka Kaffara Hai, Dua
Ke Qubuliyat Ka Din Hai.
Isliye Jumme Ki Taiyari Eid Ki Tarha Kare, Khub
Durood Parhe Aur Sunnato Par Amal Kare. Aur
Ise Jitna Ho Sake Failaye.(SHARE KARE)
Allah Uss bande Ko Beshumar Neamato Se
Nawaje Jisne Yeh Nayab Mubarak Baatein Ham
Tak Pohchayi.
Likhne Me Koi Galti Hui Ho Toh Hame Zarur Ittela
Kare…

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm