Islamic Blog

» Hadees : Jo Shaks Jumma Ki Namaz
Jama’at Ke Sath Parhta Hai, Allah Uske
Liye 1 Maqbool Hajj Ka Sawaab Likhta
Hai.
-: (Ghuniya-Tul-Taliban)

***********************

Hadees : Juma Ki Namaz Jumma Se
Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai. Shart
Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha
Jaye.
-: (Muslim Sharif)

*************************

» Hadees : Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr
Ke “3″ Juma Ki Namaze Chhor Deta
Hai, Allah Ta’ala UsKe Dil Par Mohar
Laga Deta Hai
-: (Ibn-e-Maja, Jild-1, Page No.75)

**************************

∗ Jumme Ki Namaz Na Chhore !!
» Hadees : Jisne Jumme Ki Namaz (2
Rakat Jumma) Se Pehle, 4 Sunnat
Namaz Aur Jumma Ke Baad 4 Sunnat,
2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss Par
Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega.
-: (Tizimi V1 Hadees:410)

*****************************

Hadees : Jo Jumme Ke Din Ya Raat
100 Bar Durood Parhe, Uski 100 Hajate
Puri Hongi. 70 Aakhirat Me Aur 30
Duniyavi.
-: (Musnad Abu)

*****************************

» Hadees : Jumme Ki Namaz Ke Liye
Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad
Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye
Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
-: (Bukhari Sharif)

******************************

HADEES
HUZUR S-A-W NE IRSAD FARMAYA MERE UMMATI ZUMA KI RAT ME SIRF EK MARTABA MUJPE YE DURUD PADNA US JAT KI KASAM JISKE KABZE ME MERI JAN HAI JAB TU MAREGA CAHE JHA BHI MAREGA KOI TUJE DAFAN KERNE PHOCHE YA NA PHOCHE FIQAR MAT KERNA ME KHUD TUJE DAFAN KERNE PHOCH JAUGA VO DURUD YE HAI

ALLAH-HUMMA-SALLE ALA-MUHAMMADIN-NIN-NABIYIL-UMMIYIL-HABIBIL-AALIL-QADRIL-AZIMIL-ZAHI-VALA-AALIHI-VASAH-BIHI-VASALLIM-ALAY

ZUMA KI RAT ME SIRF EK MERTBA PADHNA HAI ALLAH HAM SAB KO AMAL KI TOFIQ ATA FARMAYE
AAMIN

*******************************

✏Hazrat Salman Farsi radiALLAHuanh riwayat karte hain ke Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya:”Jo shakhs juma ke din ghusal karta hai jitna ho sake paki ka ihtimaam karta hai aur tel lagale ya khushbu ka istemaal kare phir masjid jata hai.masjid pahonch kar jo do aadmi pahele se sath baithe hu’n un ke darmiyan me’n nahi baithta aur jitni tofeq ho juma se pahele namaz padhta hai phir jab Imam khutba deta hai us ko tawajjah aur khamoshi se sunta hai to us ke us juma se guzashta juma tak ke gunahu’n ko maaf kar diya jata hai.📚(Nuzhatul qari,jild .2,page .512📚)

**********************************

Hazrat IMAAM JA’FAR SAADIQ
Radiyallahu Anhu:
” GusleJum’a Ek Jum’a Se Dusre Jum’a Tak Ke Gunaho Ka Kaffara Hai.”
JUMA MUBARAK
NABI-E-PAAK Sallallahu Alaiihi WaSallam Ne Farmaya:
Juma Ke Din Mujh Par Zyada Se Zyada Darood Bhejo Tumhara Durood Mujhe Pahunchaya Jata Hai
(Abu Dawood:1047)

************************************

“JUMMA MUBARAK”
Kehna Kaisa ???

Kuch Log la-ilmi aur jahalat Aur Bad Aqeedo ki Sohbat ki buniyaad par “JUMMA MUBARAK” Kehne par Aitraaz karte hain balki yahan tak Isse Biddat kehte hain
معاذ الله

Jab ki Nabiyon ke Sultan,
Rehmat-e-Alamiyan,
Sardar-e-do jahaan,Mehboob-e-Rehmanعزوجل,
Mere Pyaare-Pyaare Aaqa Madine wale Mustafa
(صلی اللہ علیہ وسلم)
ka farman Aalishan,Barakat-o-Magfirat Nishan hai,

“Aye Musalmano Ke Giroh,
Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah (عزوجل) Ne Eid Banaya Hai.

📚(Mishkat Hadees No. 123)

Bas isse clear ho jata hai ki jab Isse Eid kehdiya gaya toh iski Mubarakbad dene me koi harj nahi hona chahiye magar Aqal ke Andhe ko kahan yeh baat samajh aane wali hai…

Aayein Jumma ke Aala Martabe ko bayaan karti ek Riwayat mulahiza karte hain,

Aaqa-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,

“Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
ALLAH (عزوجل) ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik
“Eid-ul Azha” aur “Eid-ul Fitr” se bada hai,

ALLAH (عزوجل) ne isme Hazrate ADAM (عليه السلام) ko paida kiya,
Isme Zameen par unhe Utara Aur Isme Unhe wafat di.”

📗[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]

Is Hadees se pata chala ki Ek nabi ki paidaish unka zameen par utarna aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’mino ke liye ALLAH عزوجل ne use Eid bana diya….

Aur toh aur woh din “Eid-ul-Azha” aur “Eid-ul-Fitr” se bhi afzal kar diya.

*************************************

🔸🔶FAZILATE JUMAH🔶🔸

🔸Hazrat E Abu Hurairah Radiallaho Anho Se Rivayat Ke Huzur Sallallaho Alyhe Wasallam Ne Farmaya
🔸Yeh Ummat Sab Se Akhri Ummat Hai Lekin Qayamat Ke Din Sab Se Aage Hogi Faqt Baat Itni Hai Ke Har Ummat Ko Hum Se Pehle Kitaab Mili Hai Aur Humko Inke Baad Mili.. Fir Yeh Din (Jumma Ka Din) Allah Ne Hum Per Farz Kiya is Me Allah Ne Raah Bata Di Aur Sab Log Is Me Hamare Piche Hai Ke Yahood Ki Eid Jumma Ke Doosre Din (Saturday) Aur Nasara Ke Teesre Din (Sunday ko)
🔹Sahih Muslim , Kitab Jumma Ka Bayaan, Hadeesh No 1978
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🔸Hazrat E Abu Hurairah Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Ke Huzur Sallallaho Alyhe Wasallam Ne Farmaya Ke
🔸Meri Ummat Sab Se Akhir Me Hai Lekin Qayamat Ke Din Sab Se Aage Hogi Aur Junnat Me Bhi Sabse Pehle Dakhil Hogi Magar Itni Baat Albatta Hai Ke Unko Qitaab Pehle Mili Hai Humko Unke Baad Mili..Aur Unhone Ne Haq Baat Per Ikhtilaf Kiya  So Yeh Jumma Ka Din Wahi Hai Jis Per Ikhtilaf Kiya..Aur Hum Ko Allah Ne Raah Bataa Di Phir Yeh Jumma Ka Din Humare Liye Doosra Din Yahood Ka Teesra Nasara Ka..
🔹Sahih Muslim , Kitaab Jumma Ka Bayan , Hadeesh No 1980
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🔶 KUCH AHAADIS-JUMA KI 🔶

🔸Hadees…Aye Musalmano Ke Giroh! Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah Ne Eid Banaya Hai.
🔹Mishkat Hadees No 123

🔸Hadees…Nabi-e-Kareem….Sallallahu Alaihay Wasallam….Ne
Farmaya….Jo Mujhpar Jumma Ke Din Durood Parhe, Mai Usk Shafa’at Karunga.
🔹Kanzul Ummat Jild, 1 Safa 225

🔸Hadees…Jisne Jumma Ke Din Mujhpar 200 Bar Durood Parha, Uske 200 Saal Ke Guhaan Maaf Ho Gaye.
🔹Kanzul Ummal Hadith No. 2238

🔸Hadees…Jo Jumme Ke Din Ya Raat
100 Bar Durood Parhe, Uski…
100 Hajate Puri Hongi.
70 Aakhirat Me Aur
30 Duniyavi.
🔹Abu Dauud sarif

🔸Hadees….Jisne Jumme Ki Namaz (2 Rakat Jumma) Se Pehle,
4 Sunnat Namaz Aur
4 sunnat Jumma Ke Baad
2 Sunnat bad or
2 Nafil Parhi,
Allah Uss Par Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega.
🔹Tizimi V1 Hadees…410

🔸Hadees…… Jumme Ki Namaz Ke Liye Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
🔹Bukhari Sharif

🔸Hadees….. Juma Ki Namaz Jumma Se Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai Shart Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha Jaye.
🔹Muslim Sharif

🔸Hadees…Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad Harkat Karta Hai Ya Pehlu Badalta Hai Woh Lagw (Bekar)
Amal Hai. Khutba Shuru Hone Ke Baad
Batein Karne Wala Gadha (Donkey)
Hai.
🔹Ahmad,Tibrani.

🔸Hadees…Jumma Ke Din-Raat Me 24 Pal Hai, Har Pal Me Allah Ta’ala 600 Jahannamiyon Ko Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai.
🔹Abu Ya’ala.

🔸Hadees…Jo Shaks Jumma Ke Din Gusl Karke Awwal Waqt Me Masjid Jaye, Goya Usne Oont (Camel) Ki
Qurbani Ki.
🔹Muslim Sharif.

🔸Hadees…Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Iss Pal Me Ki Jaye Woh Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs Jumma Ke Din Sura-e-Kahaf Padhega Toh Uske Liye
Dono Jumma Ke Darmiyan Ek Noor
Chamakta Rahega.
🔹Nisaai Sharif.

🔸Hadees… Jumma Ke Din 1 Neki Ka Sawaab, 70 Guna (7o Times) Aur
Gunaah Karne Ka Azaab 70 Guna Se Bhi Zyada Hai.
🔹Mirat Jil…2…P…323.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🔶FAZILATE DURUDE PAAK🔶

🔸Hazrat Abu Talha…Radi Allahu Anhu….Se Marwi Hai K….
🔸Huzoor….Sallallahu Alayhi wa aalihi wasallam….Ek Martaba Tashreef Laaye….
Or Aap…Sallallahu Alayhi wa aalihi wasallam….Ke Chehra-E-Aqdas Par Khushee Zaahir Ho Rahi Thi !!…
🔸Aap….Sallallahu Alayhiwasallam…Ne Farmaya…
Abhi Abhi Jibra’eil…..Alayhissalam…Mere Paas Aaye aur arz ki….
🔸Aap Ka Rab Farmata Hai…
Aye Muhammad ! Kya Aap Is Baat Par Raazi Nahin Ki Aap Ki Ummat Mein Se Jo Shakhs Ek Baar Aap Par Durood Bheje….to 🔸Main Us Par Das Rahmate Bhejoon…Aur Aap Ki Ummat Mein Se Koi Aap Par Ek Baar Salaam Bheje Toh Main Us Par Das Baar Salaam Bhejoon.

🔹Sunan Nasai : Jild. 03, Pg. 50, Hadees No.1295.
🔹Sunan Darimi : Jild. 02, Pg. 408, Hadees No. 2773.
🔹Musnad Ahmad Bin Hanbal : Jild. 04, Pg. 30.
🔹Kitab uz Zuhad : Jild 01, Pg.364, Hadees no. 1067.
🔹Muajam Ul Kabir : Jild 05, Pg. 100, Hadees no. 4720.
🔹Al-Musannaf Ibn Abi Shaibah : Jild. 02, Pg. 252, Hadees no. 8695.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🔶NAMAAZ…JUMAH…k fazaail…

Durud sharif…ki kasrat
Jumah ki kuch or khubiyan

🔸Aaqa…sallallahu alayhi wasallam…frmate hai k…jisne mujpr jumah k din 200  baar durud padha us k 200 saal k gunah maaf ho jayenge…
🔸 jumah eid ka din hai
🔸Jumah sab dinon ka sardar hai
🔸Jumah k din jahannam ki aag jalai nahi jaati
🔸Jumah ki raat jahannam kdarwaaze nahi khulte
🔸Jumah ko qayamat k din dulhan ki trh uthaya jayega
🔸Jumah k din marnewala sahaadat ka rutba pata hai
🔸Jumah k din marnewala qabr k azaab se bach jata hai
🔸Jumah ko hajj ho to uska sawab 70 hajj k barabar hai
🔸Jumah ki aik neki ka sawab sattr guna hai (70 times more) zyada hai
🔸Jumah k roz gunah ka azaab bhi 70 guna hai…
🔸Allah ham ko or tamam musalmanon ko jumah ka faiz hasil karne ki tofiq ata frmaye or is muqaddas fin me gunah se bachaaye… Aamin……

🔹Kanzul ummaal…jild..1..safa..206
🔹Miraat..jild..2…safa..332
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🔸YAWME JUMAH🔸

🔸Juma k Din GhusaL 1 hafte K Gunahon Ka Kaffara hai.
🔸Juma ko Nakhun tarashna Bimari Se Hifazat hai.
🔸Juma ko Durud Pak Se Behtar koi Zikr Nahi.
🔸JUMA k din MAGHRIB or ISHA k darmian 3 baar SURAH FATIHA parhne se ALLAH pure saal k rizq ka intezam kar deta hai.
🔸JUMA K R0z 100 Martaba Durood Pak Parhne wale Ki 100 Hajaten Puri Hoti Hai…
🔹30 Duniya Ki…
🔹70 Akhirat Ki….
🔸Sabse Behtar Jumme Ka Din hai.
🔸Roshan Din (Jumma Ko) Mujh Par Darood-e-Pak Ki Kasrat Karo.

🔹Tirmizi sarif

************************************

~@ “Jumma Mubarak” kehna Kaisa ? @~

Kuch Log la-ilmi aur jahalat ki buniyaad par “Jumma Mubarak” kehne par aitraaz karte hain balki yahan tak isse Biddat kehte hain
معاذ الله‎

Jab ki Nabiyon ke Sultan,Rehmat-e-Alamiyan,Sardar-e-do jahaan,Mehboob-e-Rehmanعزوجل,
Mere Pyaare-Pyaare Aaqa Madine wale Mustafa
(صلی اللہ علیہ وسلم)
ka farman Aalishan,Barakat-o-Magfirat Nishan hai,

“Aye Musalmano Ke Giroh,
Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah (عزوجل) Ne Eid Banaya Hai.
(Mishkat Hadees No. 123)

Bas isse clear ho jata hai ki jab isse Eid kehdiya gaya toh iski Mubarakbad dene me koi harj nahi hona chahiye magar Aqal ke Andhe ko kahan yeh baat samajh aane wali hai…

Aayein Jumma ke Aala martabe ko bayaan karti ek Riwayat mulahiza karte hain,

Aaqa-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ne farmaya,

“Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
ALLAH (عزوجل) ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik
“Eid-ul Azha” aur “Eid-ul Fitr” se bada hai,

ALLAH (عزوجل) ne isme Hazrate
ADAM (عليه السلام) ko paida kiya, Isme Zameen par unhe utara Aur Isme Unhe wafat di.”
[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]

Is Hadees se pata chala ki ek nabi ki paidaish unka zameen par utarna aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’mino ke liye ALLAH عزوجل ne use Eid bana diya….

Aur toh aur woh din “Eid-ul-Azha” aur “Eid-ul-Fitr” se bhi afzal kar diya.

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Maina (wordly Meaning) Hai “Khushi” Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega “Eid”

Ise Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai,

Al-Quran->
“Essa ibn-e-Mariyam ne Arz ki
Aye ALLAH !
Aye Rab Hamare !
Hum Par Aasman Se Ek Kuwan Utar Ke Woh (Kuwan Utarne
Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur Pichlo Ki”
(Surah Maida Ayat 114)
( عزوجل  و  عليه السلام)

Ab batao agar Eidein me Mubarak bad dena jaiz hai toh kaise usse Afzal din par mubarakbad dena biddat hoga ?

Kya aisi jahalat bhari baatein kehne walon ko aapne aapko Musalman kehte hue sharm nahi aati ?

Aapni jahalat ki wahaj se Lakhon lakh Musalmanon ko bas yun hi gunaahgar keh dena kahan ki samajhdari hai ?

Woh kehte hain na ki,
“Jab Allah Deen leta hai toh Aqalein cheen leta hai.”

Aur jo yeh kehte hain inse kahein
Itne bhi Doodh ke dhule na bane ki har chiz karne ka saboot Quran-o-Hadees se chahiye agar aisa hai toh mujhe jawaab do,

*Masjid per GUMBAD banana kis SAHABI sey sabit hai ?

*Masjid main Aoqat makhsoos kerna kis sahabi sey SABIT hai ?

*Masjid me Air-Conditioner lagane ki dalil do Quran-o-Hadees se ?

*Aalishan Jamiat aur Islamic School ki tameer ki dalil lao ?

*Khatm-e-Bukhari karna Aur Saudi day manana kahan se saabit hai ?

*Aur toh aur Khana-e-Kaba par Gilaf chadana kaisa ?

Yeh billa waja aetrazaat hain agar hum bhi aisa karne par aa jayein toh Subh-Qayamat tak jawaab dhundhte reh jaoge magar jawaab na la paoge !

Hamara kaam Allah عزوجل aur Uske Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم)
ki Riza wale kaam karna hai,
Woh hum kar rahe hain,
Zikr karte rahenge aur Durood padhte rahenge
ان شاءالله عزوجل

Mean while,
Jisse abhi bhi Meri baaton se aitraaz hai woh upar diye gaye sawaalon ke jawaab laye aur particularly in sawaalon ke,

1) Aeroplane par namaz jaiz hai ya nahi ?
2) loud speaker par namaz jaiz hai ya nahi ?
3) insurance jaiz hai ya nahi ?
4) Alcohol aamizish dawa jaiz hai ya nahi ?

Yaad rahe sirf Jawaab Sirf aur Sirf “Quran-o-Hadees” se chahiye…

Jis din jawaab le aao hamare saamne aakar baat karna warna dobara muh mat kholna….

Allah عزوجل humein haq samjhne aur uspar Amal karne ki Taufiq ata farmaye !

ﺟﺰﺍﻙ الله خيرا for reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

#FreePalestine
#SupportGaza
#SaveGaza
#PrayForGaza

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Kanzul Imaan Group
Ahadees e Mubaraka No.45

Hazrat e Ibne Umar رضي الله عنه Riwayat Farmate Hai Sawar e Kaainaat ﷺ Irshad Farmate Hai Jo Koi Jumma Ke Din Surah Kahf Padhega Uske Liye Uske Kadam Ke Niche Se Aasmaan Tak Ek Noor Bulund Hoga Jo Qayamat Ke Din Uske Liye Raushan Hoga Aur Uss Padhne Wale Shakhs Ke Do Jumma Ke Darmiyaan Ke Gunaah Baksh Diye Jaaege.

# Targeeb Jild 1 Page No. 513.

************************************

“Hazart Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte
Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ne Farmaya :
Juma’ Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo,
Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki
Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.
Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me)
Haazir Hote Hain, Jab Koii Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai
To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar
Diya Jaata Hai.
Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki
Mein Ne Arz Kiya (Ya RasoolAllah ﷺ !)
Aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga) ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah
Pesh Kiya Jaayega Kyun Ki) Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Liye
Ambiya-E-Kiram Alaihim-us-Salam Ke Jismon Ka Khaana
Haraam Kar Diya Hai.
Phir Allah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai  Aur Use Rizq Bhi Ata
Kiya Jaata Hai.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﻪ ﺑﺈﺳﻨﺎﺩ ﺻﺤﻴﺢ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻤﻨﺬﺭﻱ : ﺭﻭﺍﻩ ﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﻪ ﺑﺈﺳﻨﺎﺩﺟﻴﺪ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻤﻨﺎﻭﻱ : ﻗﺎﻝ ﺍﻟﺪﺍﺭﻣﻲ : ﺭﺟﺎﻟﻪ ﺛﻘﺎﺕ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻌﺠﻠﻮﻧﻲ : ﺣﺴﻦ .

[Ibn Maajah As-Sunan, 01/524, Raqam-1637.
Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, 10/23, Raqam-2090.
Ibn Kathir Tafseer-ul-Qur’an Al-Azeem, 03/515, &
04/493,
Manawi Fayd-Ul-Qadir, 02/87.
Ajlawni Kashf-ul-Khifa, 01/190, Raqam-501.
Shawkani Nayl-ul-Awtar, 03/304,

****************************

“Hazart Ows Bin Ows RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
BeShak Tumhare Dinon Me Se Juma’ Ka Din Sab Se Behtar Hai
Is Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Huwe Aur Isi Din
Unhone Wafaat Paayi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din
Sakht Aawaaz Zaahir Hogi.
Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki
Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.
Sahaaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz
Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baad Aap Ko Kaise Pesh
Kiya Jaayega ?
Jab Ki Aap Ka Jasad-E-Mubarak Khaaq Me Mil Chuka Hoga ?
To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne
Farmaya :
(Nahin Aisa Nahin Hai) BeShak Allah Ta’ala Ne Zameen Par
Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ko (Khaana Ya Kisi
Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahuchaana) Haraam Kar Diya Hai.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa
Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Allah Ta’ala Buzurgon Bartar Ne Zameen Par Haraam
Qaraar Diya Hai Ki Wo Hamaare Jismon Ko Khaaye .”
ﺭﻭﺍﻩ ﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ ﻭﺍﻟﻨﺴﺎﺋﻲ ﻭﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﻪ ﻭﺍﻟﺪﺍﺭﻣﻲ ﻭﺃﺣﻤﺪ ﻭﺍﺑﻦ ﺧﺰﻳﻤﺔ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﺤﺎﻛﻢ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺻﺤﻴﺢ ﻋﻠﻰ ﺳﺮﻁ ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﻱ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻮﺍﺩﻳﺎﺷﻲ : ﺻﺤﺤﻪ ﺍﺑﻦ ﺣﺒﺎﻥ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻌﺴﻖﻻﻧﻲ : ﻭﺻﺤﺤﻪ ﺍﺑﻦ ﺧﺰﻳﻤﺔ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻌﺠﻠﻮﻧﻲ : ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺒﻴﻬﻘﻲ ﺑﺈﺳﻨﺎﺩ ﺟﻴﺪ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﺑﻦ ﻛﺸﻴﺮ : ﺗﻔﺮﺩ ﺑﻪ ﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ ﻭﺻﺤﺤﻪ ﺍﻟﻨﻮﻭﻱ ﻓﻲ ﺍﻵﺫﻛﺎﺭ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﺸﻮﻛﺎﻧﻲ : ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺨﻤﺴﺔ ﺇﻻ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ .

[Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqam-1047, &
Al-Istagfar, 02/88, Raqam-1531.
Nisa’i As-Sunan, 03/91, Raqam-1374, &
As-Sunan Al-Kubra, 01/519, Raqam-1666.
Ibn Maajah As-Sunan, 01/345, Raqam-1085.
Darmi As-Sunan, 01/445, Raqam-1572.
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/08, Raqam-16207.
Ibn Abi Sbaybah Al-Musannaf, 02/253, Raqam-8697.
Ibn Khuzaymah As-Sahih, 03/118, Raqam-1733,1734.
Ibn Haban As-Sahih, 03/190, Raqam-910.
Hakim Al-Mustadrak, 01/413, Raqam-1029.
Bazzar Al-Musnad, 08/411, Raqam-3485.
Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, 05/97, Raqam-478, &
Muajam-ul-Kabir, 01/261, Raqam-589.
Bayhaqi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqam-634, &
As-Sunan-ul-Kubra, 03/248, Raqam-5789, &
Shuab-ul-Iman, 03/109, Raqam-3029, &
Fazail-ul-Awqat, 497, 275.
ﺍﻟﺠﻬﻀﻤﻲ ﻓﻲ ﻓﻀﻞ ﻟﻠﺼﻼﺓ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﷺ، ٣٧ / ١ ، ﺍﻟﺮﻗﻢ : ٢٢ .
ﻭﺍﻟﻮﺍﺩﻳﺎﺷﻲ ﻓﻲ ﺗﺤﻔﺔ ﺍﻟﻤﺤﺘﺎﺝ، ٥٢٤ / ١ ، ﺍﻟﺮﻗﻢ : ٦٦١ .
Asqalani Fat’h-ul-Bari, 11/370.
Ajlawni Kashf-ul-Khifa, 01/190, Raqam-501,

********************************

“Hazart Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Koi Bhi Shakhs Mujh Par Salam Bhejta Hai To BeShak Allah
Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huwi Hai.
(Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yaha’n
Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ ﻭﺃﺣﻤﺪ ﻭﺍﻟﻄﺒﺮﺍﻧﻲ ﻭﺍﻟﺒﻴﻬﻘﻲ .
ﺭﻭﺍﻩ ﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ ﻭﺭﻭﺗﻪ ﺛﻘﺎﺕ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻬﻴﺜﻤﻲ : ﻭﻓﻴﻪ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﻳﺰﻳﺪ ﺍﻹﺳﻜﻨﺪﺭﺍﻧﻲ ﻭﻟﻢ ﺃﻋﺮﻓﻪ ﻭﻣﻬﺪﻱ ﺑﻦ ﺟﻌﻔﺮ ﺛﻘﺔ ..… ﺑﻘﻴﺔ
ﺭﺟﺎﻟﻪ ﺛﻘﺎﺕ .

[Aboo Dawud As-Sunan, 02/218, Raqam-2041.
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/527, Raqam-10767.
Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, 03/262, Raqam-3092, 9329.
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 05/245, Raqam-10050, &
Shuab-ul-Iman, 02/217, Raqam-5181, 4161.
Ibn Rahawayh, Al-Musnad, 01/453, Raqam-526.
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/326, Raqam-2573.
Haythami Majma-uz-Zawa’id,10/162,

*******************************

 Jumma Ka Din

Hazarat e Umar Bin Khattab Radiallaho Anho Farmate Hai Ke

✏Ek Din Ek Yahoodi Ne Aap Ki Khidmat Me Aa Kar Kahaa ” Aye Ameer ul Moa’Menin Aap Ki Kitaab (Quran Sharif) Me Ek Aayat Aisi Hai Ke Agar Woh Aayat Hum Par Naazil Hoti (Yaani Yahoodiyo Par Naazil Hoti ) Toh Us Din Ko Hum Log Eid Manaate, Aap Ne Poocha Kaun Si ? Yahoodi Ne Kahaa (Takmeel Deen Waali Aayat )

✏Aap Ne Farmayaa ” Beshaq Muje Ilm Hai Yeh Aayat Kab Aur Kahaa Naazil Huyi Jab Nabi e Kareem Sallallaho Alyhe Wasallam Arafa Ke Mukim The Aur Woh Din Jumma Ka Tha.

📚(Sahih Bukhari  1/45)
(Sahih Muslim 3018)
(Ibn E Hibban 185)
(Masnad Imam Ahmed 188)

*********************************

Jo SHAKHS Jumay Ki NamaZ se pehle”3″bar
SuraH Qadar
Parhlega to usko dunya me tamaam Juma ADA KARNE walon ki tadad k braber NEkiyan milengi.
(Faizane sunnat #1166)
Jo shakhs jumay k din 200 bar darod  Pak pare is k 200 saal k guna muaf kar deye jain ge
(kanzul-ummal#p.256/v.1)

****************************


AsSalam Alaikum wRehmatullahi wBarkatahu..
Bismillahir_Rehmanir_Rahim
💥Jumma Ki Namaz💥

∗ Jumma Ke Namaz Ki Shuruwat !!
» Jumma Ki Namaz Sabse Pehle 12 Rabi-Ul-Awwal 1 Hijri Ko Nabi-E-Paak (Sallallahu Alaihi Wassalam) Ki Imamat Me Parhi Gayi, Jisme Sahabao Ki Tadaat 100 Thi.
📚(Mohsine Insaniyat 703)

∗ Jumme Ki Murakbaad Dene Ka Bhi Ajr Hai !!
» Hadees: Aye Musalmano Ke Giroh! Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah Ne Eid Banaya Hai.
📚(Mishkat Hadees No. 123)
» Hadees: Jisne Jumma Ki Mubarakbaad Di, Uss Par Jannat Wajib Hai.
» Hadees: Jab Koi Banda Kisi Momin Bhai Ko Jumma Ki MubarakBaad Deta Hai, Toh Jannat Me Uske Liye 1 Darakht Laga Diya Jata Hai.

∗ Jumme Ke Din Kasrat Se Duruud Parhe !!
» Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Jo Mujhpar Jumma Ke Din Durood Parhe, Mai Uski Shafa’at Karunga.
-:📚 (Kanzul Ummat Jild, 1 Safa 225 Hadees : 2236)
» Hadees: Jisne Jumma Ke Din Mujhpar 200 Bar Durood Parha,
Uske 200 Saal Ke Guhaan Maaf Ho Gaye.
-: 📚(Kanzul Ummal Hadith No. 2238)
» Hadees: Jo Jumme Ke Din Ya Raat 100 Bar Durood Parhe,
Uski 100 Hajate Puri Hongi. 70 Aakhirat Me Aur 30 Dunyavi.
(Musnad Abu)

∗ Jumme Ki Namaz Na Chhore !!
» Hadees: Jisne Jumme Ki Namaz (2 Rakat Jumma) Se Pehle, 4 Sunnat Namaz Aur Jumma Ke Baad
4 Sunnat, 2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss Par Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega.
📚(Tizimi V1 Hadees:410)
» Hadees: Jumme Ki Namaz Ke Liye Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad
Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
(Bukhari Sharif)
» Hadees: Juma Ki Namaz Jumma Se Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai.
Shart Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha Jaye.
📚(Muslim Sharif)
» Hadees: Jo Shaks Jumma Ki Namaz Jama’at Ke Sath Parhta Hai,
Allah Uske Liye 1 Maqbool Haj Ka Sawab Likhta Hai.
📚(Ghuniya-Tul-Taliban)
» Hadees: Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr Ke “3″ Juma Ki Namaze Chhor Deta Hai,
Allah Ta’ala UsKe Dil Par Mohar Laga Deta Hai
📚(Ibn-e-Maja, jild-1, Page no.75)
» Hadees: Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad Harkat Karta Hai, Ya Pehlu Badalta Hai
Woh Lagw(Bekar) Amal Hai. Khutba Shuru Hone Ke Baad Batein Karne Wala Ghada (Donkey) Hai.
📚(Ahmad,Tibrani)
» Hadees: Jumma Ke Din-Raat Me 24 Pal Hai, Har Pal Me Allah Ta’ala 600
Jahannamiyon Ko Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai.
📚(Abu Ya’ala)

∗ Jumme Ke Din Khas Tor Se Gusl Kare, Ye Jumma Ki Sunnato Me Se 1 Hai !!
» Hadees: Nabi-E-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Har Baaligh Par Jumma Ke Din Ghusl Karna Waajib Hai.
📚(Bukhari J:1 S:121)
» Hadees: Jumma Ka Gusl Aadmi Ke Gunaho Ko, Uski Baal Ke Jad Se Kheech Leta Hai.
📚(Tibrani)
» Hadees: Jo Shaks Jumma Ke Din Gusl Karke Awwal Waqt Me Masjid Jaye,
Goya Usne Oont(Camel) Ki Qurbani Ki.
📚(Muslim Sharif)

∗ Duao Ki Qubuliyat Ka Din Bhi Hai Jumma !!
» Hadees: Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Iss Pal Me Ki Jaye Woh Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs Jumma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhega Toh Uske Liye Dono Jumma Ke Darmiyan Ek Noor Chamakta Rahega.
📚(Nisaai Sharif)
» Hadees: Jumma Ke Din 1 Neki Ka Sawab, 70 Guna (7o Times) Aur
Gunaah Karne Ka Azab 70 Guna Se Bhi Zyada Hai.
📚(Mirat Jil 2 Page323)

∗ Jumma Ki Sunnate
» Gusl Karna, Saaf Kapde Pehanna, Khushbu Tel Surma Lagana, Nakhun Katna, Masjid Jald Jana Aur Paidal Jana, Sureh Kahaf Parhna, Musafa Karna Aur Jumma Ki Mubarakbad Dena.

Sabak : Toh Mere Bhaiyo Aur Behno. !! Ye Toh Sirf Kuchh Hi Fazilate Likhi Hai, Jumme Ki Toh Itni Fazilat Hai Ke Aap Soch Bhi Nahi Sakte. Ye Gareebo Ka Haj Hai, Gunaho Ka Kaffra Hai, Dua Ke Qubuliyat Ka Din Hai.
Isliye Jumme Ki Taiyari Eid Ki Tarha Kare, Khub Durood Parhe Aur Sunnato Par Amal Kare. Aur Ise Jitna Ho Sake Failaye.

Allah Uss bande Ko Beshumar Neamato Se Nawaje Jisne Yeh Nayab Mubarak Baatein Ham Tak Pohchayi.
Likhne Me Koi Galti Hui Ho Toh Hame Zarur Ittela Kare… !!!! Dua Ki Darkhwast !!!!


***********************************

Jumma Ke Din Gunaho Ka Kaffara Aur 200 Saal Ki Jazaa

Hazrat E Abu Bakr Siddique Aur Imran Bin Hussain Radiallaho Anhoma Dono Se Rivayat Hai Ke

✏Ek Dayhaati Huzur Sallallaho Alyhe Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Huva Aur Kehne Lagaa “Ya Rasool Allah Sallallaho Alyhe Wasallam Aap Kehte Hai Ke Ek Jumma Doosre Jumma Tak Aur Paanch Namaze Apne Darmyan Waqt Ke Gunaho Ka Kaffara Hai Jub Ke Bade Bade Gunaho Se Parhez Kiya Jaaye. “? Rasool Allah Sallallaho Alyhe Wasallam Ne Farmaya “Haa Aisa Hi Hai “. Uske Baad Aap Ne Aur Zyada Bataya  Ke “Jumma Ke Din Gussl Karna Kaffara Hai Aur Jumma Ke Din Paydal (By Walk) Chalna Usme Se Har Kadam Me Bees Ke Amal Ke Barabar Hai. Jub Woh Namaz e Jumma Se Faarig Hoga To Doso (200) Saal Ki Jazaa Diya Jaayega.”

📓(Shoeb Ul Imaan ; Jild 3 , Hadeesh No 3020 & 3021)

********************************

Jum’ah ka bayan aur Fazeelaten :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Qur’an :

62 Surah Jum’ah, Aayat 9, 10 :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَىٰ ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ ۚ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ
فَإِذَا قُضِيَتِ الصَّلَاةُ فَانْتَشِرُوا فِي الْأَرْضِ وَابْتَغُوا مِنْ فَضْلِ اللَّهِ وَاذْكُرُوا اللَّهَ كَثِيرًا لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ

Aye eimaan walo Jab Jum’ah ke din azaan di jaaye to foran ALLAH ke zikr (Khutba aur Namaaz) ki taraf tezi se chal pado aur kharid wa farokht (kaarobar) chhod do, ye tumhare haq me behtar hai agar tum ilm rakhte ho.
Phir jab namaaz ada ho chuke to zameen me muntshar ho (fail) jaao aur ALLAH ka fazl (rizq) talaash karne lago aur ALLAH ko kasrat se yaad kiya karo taake tum falah (kaamyabi) paao.

💠Hadeese Nabawi :

(1) Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
Aur ALLAH ta’ala ke nazdeek sab se bada hai,
Yaha tak ke Eid-ul-Azha aur Eid-ul-Fitr se bhi.

Is me 5 khaslaten hain :

1. ALLAH ta’ala ne isi me Hazrate Aadam alaihis salaam ko paida kiya.

2. Isi roz unhe zameen par utara.

3. Isi roz unhe wafat di.

4. Is me ek ghadi aisi hai ki banda jab sawal kare to use mil jaaye siwa e haram ke.

5. Isi din Qayamat qaaim hogi.

(Sunan Ibne Maajah, Jild –2, Safa 8, Hadees –1084)

(2) Aye musalmano ke giroh,
Beshak ye Jum’ah wo din hai jis ko ALLAH ne Eid banaya hai.

📕(Mishkat, Hadees –123,
Ibn Maajah)

(3) Jo shakhs Jum’ah ke din nahaaye aur jis qadar (har tarah ki) paaki haasil ho sake kare (ya’ni naakhoon kaatna, Bagal ke aur zere naaf ke baal door karna wagairah) , phir tail ya apne ghar se khusbu lagaaye aur (Jum’ah ke liye) masjid ko jaaye, (waha) do aadmiyon ke beech raasta na banaaye (balki jahan jagah mile baith jaaye),
phir apne muqaddar ki namaz padhe, phir dauraan e khutba khaamosh rahe to uske pichhle Jum’ah se lekar is Jum’ah tak ke gunah muaaf kar diye jaate hain.

📒(Bukhari, Al-Jum’ah, Hadees– 883-910)

(4) Jum’ah ki namaaz Jum’ah se Jum’ah tak ke liye Kaffara hai, Shart hai ki Gunahe kabeera se bacha jaaye

📔(Muslim shareef)

(5) Jum’ah me ek aisi ghadi hai ke agar koi musalman use paakar ALLAH ta’ala se kuchh maange to ALLAH ta’ala use zaroor ata karega aur wo ghadi mukhtasar hai.

📕(Sahih Muslim, Jild –1, Safa –281)

(6) Jum’ah ke din jis saa’at ki khwahish ki jaaati hai use Asr ke baad se Guroobe aaftab tak talash karo.

📓(Tirmizi, Jild –2, Safa –30, Hadees –489)

(7) Jum’ah ke din ‘Surah Kahaf’ padhne wale ke pair se aasmaan tak Noor chamakta rahega aur dono Jum’ah ke darmiyan me jo gunaah ho chuke wo muaf honge.

📕(Nisaai, Ibne Maajah)

(8) Jo Jum’ah ki shab (Jumeraat aur Jum’ah ke darmiyan ki raat) ya din me 100 baar Durood padhe, Uski 100 haajate puri hongi, 70 aakhirat me aur 30 Dunyawi.

📙(Musnad Abu Dawood)

(9) Jum’ah ke din tum mujh par kasrat se Durood bhejo, Kyun ki tumhara durood mujh par paish kiya jaata hai.
Aur ALLAH ne zameen par haraam kar diya hai ke wo Ambiya ke jismo ko khaaye, so ALLAH ke Nabi (hamesha) zinda hain aur unhe rizq diya jaata hai.

📘(Ibn Maajah, Safa –119,
Sunan Abi Dawood, Hadees –1047,
Mishkaat Shareef, Jild –2, Safa –112,
Mustadark al-Hakeem, Kitaabul Ahwaal, Hadees –8859,
Jaame Sagheer, Jild –1, Safa –54)

(10) Hazrat Mohammad bin Noamaan radiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai ki
Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya ki
‘Jo apne maa-baap ki qabron ki ziyarat kare ya un me se kisi ek ki qabr ki har Jum’aa ke din ziyarat kare, to use bakhsh diya jaayega aur use neki karne wala likha jaayega.’

📔(Mishkaat, Safa –154)

(11) Jis ne (jaan buzkar) lagaatar 3 Jum’ah chhod diya us ne islaam ko peeth pichhe phenk diya, wo munafiq me se hai.

(12) Jo susti ki wajah se 3 dafa lagataar jumma ki namaz chhod de, ALLAH us ke dil per mohar laga deta hai.

📕(Abu Dawood, Kitaab-us Salaat, Hadees –1040,
Ibne Maajah, Jild –1, Safa –75)

******************
▪▪►Jum’ah ko ‘Sayyedul Ayyam’ kaha jata hai Ya’ni Hafte ke sab dino ka sardar.

Jum’aa sab se afzal din hai aur is me mo’min ki dua ALLAH ta’ala jaldi qubool karta hai aur uski rehmato ki baarish khas aur ziyada hoti hai.

▪▪►Jum’ah ki kuchh khas fazeelaten hain :

(1) Jum’ah ki raat dozakh ke darwaze nahi khole jaate.

(2) Jum’ah ke din jahannam ki aag nahi jalai jaati.

(3) Jum’ah ke din marne wale khush-naseeb musalman ko qabr ke sawal-jawab aur sakhti se najaat milti hai.

(4) Jumma ke din ki gai ek neki ka sawab 70 nekiyon ke barabar hai.

(5) Jum’ah ke din agar Yaume Hajj ho to uska sawab 70 Hajj ke barabar ata kiya jaata hai.

(6) Jum’ah ke din Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam khud apne mubarak kaano se Durood shareef sunte hain.

******************
▪▪►Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ke elane nubuwwat se pehle jum’ah ko azmat wala mana jaata hai.

Lekin Islaam me namaaze jum’ah ki shuruat Madeena me hui.
Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ne hijrat ke baad Madeena me sab se pehli namaze jum’aa padhai.
1 Hijri me Bani Saalim ki aabadi me 100 ashaba ne pehli namaze Jum’ah Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ki imaamat me ada ki.
Ye maqam ‘Masjide Jum’aa’ ke naam se mashhoor hai.
Hajj aur Umrah ke mauqe par Madeena shareef jaane wale is mubarak masjid ki ziyarat karte hain.

******************
▪▪►Jum’ah ke din Gusl karna, Achha libas pehanna, Khusboo lagana, Surma lagana, Nakhoon katna, Miswaak karna, Musalmano ko khushi ke saath Jum’aa ki mubarak-baad dena, Saqda –khairat karna, Gareebo aur haajatmando ki imdad karna aur Sab ke liye dua e khair karna Sunnat hai.

Jum’ah ki raat ya din me Surah al-Kahaf, Surah al-Dukhan, Surah Yasin aur Surah al-Ikhlaas aur Aayat-ul kursi ki tilawat karen.
Namaaze Jum’ah se pehle 3 baar Surah al- Qadr padhen.
Kasrat se Durood shreef padhen.
Aur kasrat se Astagfar karen.

Shabe Jum’ah (Jum’eraat aur Jum’ah ke darmiyan ki raat ) ko is durood shareef ko zaroor padhen.

Aur ye duaen khas padhen :

Rabbana aatena fiddunya hasanataw wa filakhirati hasanataw wa kina azabnnar.

(Aye mere rab mujhe dunya me bhalai ata farma aur aakhirat me bhi bhalai aur (jahannam ki) aag se bacha.)

Allahumm inni asaluk eimaanan kamilan-w wa ilman nafe’an-w wa amalan salihan-w wa rizqan halaalan-w wasian-w wa shifa-am min kulli daeen-w wa shafa’atan Rasoolan.

(Aye ALLAH tujh se sawaal karta hu mukammal eimaan ka aur nafa bakhsh ilm ka aur nek amal ka aur halaal wasi’a (bharpur) rizq ka aur har beemari se shifa ka aur RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ki shafa’at ka.)

Qabrastan ki aur Auliya Allah ke mazaar ki ziyarat bhi karen.
Aur apne buzurgo aur marhoomeen ke liye dua e magfirat bhi karen aur unke liye isaale sawaab bhi karen.

******************
▪▪►Namaaz ke beshumar faaide hain.
Is me ek faida ye bhi hai ke
5 waqt ki namaaz apne muhalle me padhne ka hukm hai taake roz muhalle ke log aapas me ek dusre milen aur Salaam Dua karen aur ek dusre ka haal jaan saken.
Is tarah Jum’ah ki namaaz Jaame Masjid me ada karne ka hukm hai taake har hafte pure ilaake ke log aapas me ek dusre milen aur Salaam Dua karen aur ek dusre ka haal jaan saken.
Aur is tarah Ittehade millat (unity) ka muzaahira hota rahe.

******************
▪▪►Jum’ah ki farziyat zohar se ziyada moakkidah hai.

Jis ne namaaze jum’ah ada kar li use phir us din ki zohar padhne ki zaroorat nahi.

Agar bagair kisi sahi sharai uzr ke namaaze jum’ah chhod diya to gunahgar hoga.
Use zohar ki namaz bhi padhni hogi aur tauba bhi karni hogi.
Agar zohar ka waqt khatm ho gaya ho to zohar ki qaza padhni hogi.

Agar safar me hai aur Jama’at nahi mil sakti to 2 rak’at namaaze zohar ki kasr ada kare.

******************
▪▪►Kisi bhi Musalman par Jum’ah farz hone ke liye 11 sharait hain :

(1) Baaligh hona. (Na-baaligh par Jum’ah farz nahi.)

(2) Aaqil hona. (Pagal par farz nahi.)

(3) Mard hona. (Aurat par farz nahi.)

(4) Mukeem hona. (Musafir par farz nahi.)

(5) Sehat. (Mareez aur Shaikhe faani jo masjide jum’ah tak na ja sakte ho ya agar chala to jaayega lekin marz badh jaayega to us par farz nahi.)

(6) Ankhiyara hona. (Andhe pa farz nahi.)

(7) Chalne par qaadir hona. (Apaahij ya Faalij (Paralysis) wale par farz nahi.)

(8) Aazad hona. (Gulam par farz nahi. Khaadim/ Nokar ko uska maalik nahi rok sakta.)

(9) Qaid me na hona. (Qaidi par farz nahi.)

(10) Khauf na hona. (Agar hakim ka ya chor vagairah kisi zalim ka dar hai ya muflis karzdar ko qaid hone ka dar hai to us par farz nahi.)

(11) Sakht baarish ya aule ya sailaab ya aandhi ya sardi ka na hona. (Ye chize itni sakht hai ke in se nuqsan ka khauf ho to farz nahi.)

******************
▪▪►Jum’aa ki namaaz qaaim hone ke liye 6 sharait hain :
Is me se 1 shart bhi na pai jaae to Jum’aa hogi hi nahi.

(1) Misr wa fana e misr – Misr ya’ni shaher ho jisme kai gali- kooche aur bazaar ho aur wo zila ya tehsil ho ke uske mut’allik dehat gine jate ho aur waha uska koi hakim rehta ho.
Aur fana e misr ya’ni wo jagah jo misr ke aas-pas misr ki maslahato ke liye ho jaise Station, Qabrastan, Kachehri.

(2) Baadshah ya haakim – Sultane islam ya uska naib Jum’aa qaaim kar sakta hai.
Agar islami hukoomat na ho to sab se bada sunni sahihul aqeeda aalim qaaim kare.
Bagair iski ijazat ke jum’aa kaim nahi ho sakta.
Aur agar ye bhi na ho to aam log jis ko Imaam banaye wo qaaim kare.

(3) Waqt – Jum’ah ki namaz zohar ke waqt ke darmiyan hi padhi jaae.
Ya’ni Zawal ke baad se lekar Asr ke waqt se pehle.

(4) Khutba – Khutba namaz se theek pehle aur jama’at ke samne padha jaaye.

(5) Jama’at – Imaam ke ilawa kam se kam 3 mard saamil hone chahiye.
Sirf aurte aur bache ho to Jum’aa na hogi.

(6) Izne aam – Masjid ka darwaza khol diya jaae take jis musalman ko aana ho be-rok tok aaye.

▪▪► Jum’aa ki namaz Shehar (City) ya Kasba (Town) walo par farz hai,
Dehat (Village) walo par nahi.
Waha ke log Jum’ah ke din bhi Zohar ki puri namaaz ada karen.
Aur agar dehat ke log Jum’ah ki namaaz padhna chahe to unhe shehar ki masjid me aakar padhni hogi.

▪▪► Agar kisi wajah se shehar me jum’ah ke liye na ja sake ya masjid tak na pahunch sake ya masjid me pahunchane se pehle namaze jum’aa khatm ho chuki ho ya’ni Jama’at me saamil na ho saka ho aur Imaam ke salaam ferne ke baad pahuncha ho to use Zohar ki namaz puri padhni hogi. Wo tanha namaaze Jum’ah nahi padh sakta.

******************
ALLAH ta’ala uske pyare Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur sab musalmano ko Jum’aa ki fazeelat samajhkar sahi tareeqe se zyada ibaadat aur dua karne ke taufiq ata farmae aur hamare nek aamal qubool farmae aur sab ki nek jaiz duaen qubool farmae.
Aameen.

*******************************************

“Hazart Ows Bin Ows RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
BeShak Tumhare Dinon Me Se Juma’ Ka Din Sab Se Behtar Hai
Is Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Huwe Aur Isi Din
Unhone Wafaat Paayi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din
Sakht Aawaaz Zaahir Hogi.
Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki
Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.
Sahaaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz
Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baad Aap Ko Kaise Pesh
Kiya Jaayega ?
Jab Ki Aap Ka Jasad-E-Mubarak Khaaq Me Mil Chuka Hoga ?
To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne
Farmaya :
(Nahin Aisa Nahin Hai) BeShak Allah Ta’ala Ne Zameen Par
Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ko (Khaana Ya Kisi
Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahuchaana) Haraam Kar Diya Hai.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa
Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Allah Ta’ala Buzurgon Bartar Ne Zameen Par Haraam
Qaraar Diya Hai Ki Wo Hamaare Jismon Ko Khaaye .”
ﺭﻭﺍﻩ ﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ ﻭﺍﻟﻨﺴﺎﺋﻲ ﻭﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﻪ ﻭﺍﻟﺪﺍﺭﻣﻲ ﻭﺃﺣﻤﺪ ﻭﺍﺑﻦ ﺧﺰﻳﻤﺔ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﺤﺎﻛﻢ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺻﺤﻴﺢ ﻋﻠﻰ ﺳﺮﻁ ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﻱ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻮﺍﺩﻳﺎﺷﻲ : ﺻﺤﺤﻪ ﺍﺑﻦ ﺣﺒﺎﻥ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻌﺴﻖﻻﻧﻲ : ﻭﺻﺤﺤﻪ ﺍﺑﻦ ﺧﺰﻳﻤﺔ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻌﺠﻠﻮﻧﻲ : ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺒﻴﻬﻘﻲ ﺑﺈﺳﻨﺎﺩ ﺟﻴﺪ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﺑﻦ ﻛﺸﻴﺮ : ﺗﻔﺮﺩ ﺑﻪ ﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ ﻭﺻﺤﺤﻪ ﺍﻟﻨﻮﻭﻱ ﻓﻲ ﺍﻵﺫﻛﺎﺭ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﺸﻮﻛﺎﻧﻲ : ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺨﻤﺴﺔ ﺇﻻ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ .

[Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqam-1047, &
Al-Istagfar, 02/88, Raqam-1531.
Nisa’i As-Sunan, 03/91, Raqam-1374, &
As-Sunan Al-Kubra, 01/519, Raqam-1666.
Ibn Maajah As-Sunan, 01/345, Raqam-1085.
Darmi As-Sunan, 01/445, Raqam-1572.
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/08, Raqam-16207.
Ibn Abi Sbaybah Al-Musannaf, 02/253, Raqam-8697.
Ibn Khuzaymah As-Sahih, 03/118, Raqam-1733,1734.
Ibn Haban As-Sahih, 03/190, Raqam-910.
Hakim Al-Mustadrak, 01/413, Raqam-1029.
Bazzar Al-Musnad, 08/411, Raqam-3485.
Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, 05/97, Raqam-478, &
Muajam-ul-Kabir, 01/261, Raqam-589.
Bayhaqi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqam-634, &
As-Sunan-ul-Kubra, 03/248, Raqam-5789, &
Shuab-ul-Iman, 03/109, Raqam-3029, &
Fazail-ul-Awqat, 497, 275.
ﺍﻟﺠﻬﻀﻤﻲ ﻓﻲ ﻓﻀﻞ ﻟﻠﺼﻼﺓ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﷺ، ٣٧ / ١ ، ﺍﻟﺮﻗﻢ : ٢٢ .
ﻭﺍﻟﻮﺍﺩﻳﺎﺷﻲ ﻓﻲ ﺗﺤﻔﺔ ﺍﻟﻤﺤﺘﺎﺝ، ٥٢٤ / ١ ، ﺍﻟﺮﻗﻢ : ٦٦١ .
Asqalani Fat’h-ul-Bari, 11/370.
Ajlawni Kashf-ul-Khifa, 01/190, Raqam-501

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)