Jumme Ki Murakbaad
Dene Ka Bhi Ajr Hai !!
.
Hadees: Aye Musalmano
Ke Giroh! Beshaq Ye Jumma
Woh Din Hai Jisko Allah Ne
Eid Banaya Hai.
-: (Mishkat Hadees No. 123)
.
Hadees: Jisne Jumma Ki
Mubarakbaad Di, Uss Par
Jannat Wajib Hai.
Hadees: Jab Koi Banda Kisi
Momin Bhai Ko Jumma Ki
Mubarak Baad Deta Hai,Toh
Jannat Me Uske Liye 1
Darakht Laga Diya Jata Hai.
.
.
Jumme Ke Din Kasrat Se
Duruud Parhe !!
.
Hadees: Nabi-e-Kareem
(Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ne Farmaya,
Jo Mujhpar Jumma Ke Din
Durood Parhe, Mai Uski
Shafa’at Karunga.
-: (Kanzul Ummat Jild, 1 Safa
225 Hadees : 2236)
.
Hadees: Jisne Jumma Ke
Din Mujhpar 200 Bar
Durood Parha,
Uske 200 Saal Ke Gunaah
Maaf Ho Gaye.
-: (Kanzul Ummal Hadith No.
2238)
.
Hadees: Jo Jumme Ke Din
Ya Raat 100 Bar Durood
Parhe,
Uski 100 Hajate Puri Hongi.
70 Aakhirat Me Aur 30
Dunyavi.
-: (Musnad Abu)
.
.
Jumme Ki Namaz Na
Chhore !!
.
Hadees: Jisne Jumme Ki
Namaz (2 Rakat Jumma) Se
Pehle, 4 Sunnat Namaz Aur
Jumma Ke Baad
4 Sunnat, 2 Sunnat, 2 Nafil
Parhi, Allah Uss Par
Jahannam Ki Aag Haram Kar
Dega.
-: (Tizimi V1 Hadees:410)
.
Hadees: Jumme Ki Namaz
Ke Liye Azan Di Jaye, Toh
Tum Allah Ki Yaad
Ke Liye Chal Pado, Ke
Tumhare Liye Behtar Hai
Agar Tum Jante Ho.
-: (Bukhari Sharif)
.
Hadees: Juma Ki Namaz
Jumma Se agle Juma Tak Ke Liye
Kaffara Hai.
Shart Hai Ki Gunah-e-
Kabeera Se Bacha Jaye.
-: (Muslim Sharif)
.
Hadees: Jo Shaks Jumma
Ki Namaz Jama’at Ke Sath
Parhta Hai,
Allah Uske Liye 1 Maqbool
Haj Ka Sawab Likhta Hai.
-:(Ghuniya-Tul-Taliban)
.
Hadees: Jo Shakhs Bagair
Kisi Uzr Ke 3 Juma Ki
Namaze Chhor Deta Hai,
Allah Ta’ala UsKe Dil Par
Mohar Laga Deta Hai
-: (Ibn-e-Maja, jild-1, Page
no.75)
.
Hadees: Jo Shakhs Khutba
Shuru Hone Ke Bad Harkat
Karta Hai, Ya Pehlu Badalta
Hai
Woh Lagw(Bekar) Amal Hai.
Khutba Shuru Hone Ke Baad
Batein Karne Wala Ghada
(Donkey) Hai.
-: (Ahmad,Tibrani)
.
Hadees: Jumma Ke Din-
Raat Me 24 Pal Hai, Har Pal
Me Allah Ta’ala 600
Jahannamiyon Ko Jahannam
Se Azaad Kar Deta Hai.
-: (Abu Ya’ala)
.
Jumme Ke Din Khas Tor Se
Gusl Kare, Ye Jumma Ki
Sunnato Me Se 1 Hai !!
.
Hadees: Nabi-E-Akram
(Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ne Farmaya,
Har Baaligh Par Jumma Ke
Din Ghusl Karna Waajib Hai.
-: (Bukhari J:1 S:121)
.
Hadees: Jumma Ka Gusl
Aadmi Ke Gunaho Ko, Uski
Baal Ke Jad Se Kheech Leta
Hai.
-: (Tibrani)
.
Hadees: Jo Shaks Jumma
Ke Din Gusl Karke Awwal
Waqt Me Masjid Jaye,
Goya Usne Oont(Camel) Ki
Qurbani Ki.
-: (Muslim Sharif)
.
.
Duaon Ki Qubuliyat Ka Din
Bhi Hai Jumma !!
.
Hadees: Juma Ke Din Ek
Pal Hai Jo Bhi Dua Iss Pal Me
Ki Jaye Woh Qubool Hoti
Hai. Jo Shakhs Jumma Ke Din
Sura-E-Kahaf Padhega Toh
Uske Liye Dono Jumma Ke
Darmiyan Ek Noor
Chamakta Rahega.
-: (Nisaai Sharif)
.
Hadees: Jumma Ke Din 1
Neki KaSawab, 70 Guna (7o
Times) Aur
Gunaah Karne Ka Azab 70
Guna Se Bhi Zyada Hai.
-: (Mirat Jil 2 Page323)
.
.
Jumma Ki Sunnate
.
Gusl Karna,
Saaf Kapde Pehanna,
Khushbu Tel Surma
Lagana,
Nakhun Katna,
Masjid Jald Jana Aur Paidal
Jana,
Sureh Kahaf Parhna,
Musafa Karna Aur Jumma Ki
Mubarakbad Dena.
.
.
Sabak : Toh Mere Bhaiyo Aur
Behno. !! Ye Toh Sirf Kuchh
Hi Fazilate Likhi Hai, Jumme
Ki Toh Itni Fazilat Hai Ke Aap
Soch Bhi Nahi Sakte. Ye
Gareebo Ka Haj Hai,Gunaho
Ka Kaffra Hai, Dua Ke
Qubuliyat Ka Din Hai.
Isliye Jumme Ki Taiyari Eid
Ki Tarha Kare, Khub Durood
Parhe Aur Sunnato Par Amal
Kare. Aur Ise Jitna Ho Sake
Failaye.
Source : www.facebook.com
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021
Great pⲟst.