Islamic Blog

17th RAMZAN UNFORGETABLE DAY OF ISLAM……

JUNG-E-BADR

“BADR” Madina Sharif se Takreeban 80 Meel ke Fasle par Ek Gau(Village) Ka Naam Hai Jaha Zamana-Jahiliyat Me Salana Mela Lagta Tha Yaha Ek Kuwa Bhi tha Jiske Malik ka naam Badr tha….

Isi Ke naam par Is Jagah ka Naam Badr Rakh Diya Gaya Isi Maqam Par Junge Badr ka Wo Azeem Muarik Hua Jisme Kuffare Quraish Aur Musalmano ke Darmiyan Sakht Khoon Ranj Ladai Hui Aur Musalmano ko Ek Azeem-Us-shan Fateh Mubeen Naseeb Hui Ki Jiske Bad Islaam Ki Izzat-o-Iqbal Ka Parcham Itna Buland ho Gaya ki Kuffare Quraish Ki Azmat Wa Shouqat Bilkul Khaak Me mil Gai…

Allah Taa’la Ne Junge Badr Ke Din ka Naam “YOUM-UL-FURQAN” Rakha Aur Quran ki Sureh Anfal Me Tafseel ke Sath Aur Dusri Surto me Ijmalan Bar-Bar Is Jung Ka Zikr Farmaya Aur Is Jung Me Musalmano Ki Fateh Mubeen Kr Bare me Ehsan Jatate hue Allah Taa’la Ne Quran Majeed me Irshad Farmaya ki…

↪Tarjuma:-

Aur Yaqeenan Allah Taa’la Ne Tum logo Ki Madad Farmai Badr me Jabki Tum log Kamzor Be-Sara Saman The To tum log Allah se Darte Raho Taki Tum log Shukr Guzar ho Jao…

Al-Quran

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)