Islamic Blog

HIQAYAT:-
************
Ek Arbi Apni Aastin May Kuch Chupaye Hue Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Haazir Hua Aur Kehne Laga, Aye Mohammad (SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM) Agar Tu Bata De Ki Meri Aastin Ke Ander Kya Hain? To Main Maan Lunga Ki Wakayi Tu Saccha Nabi Hain! Huzoor Ne Farmaya, Wakayi Imaan Le Aaoge? Usne Kaha, Haan, Wakayi Imaan Le Aaouga! Farmaya, To Suno, Tum Ek Jungal Se Gujar Rahe The! Tumne Ek Darakht Dekha Jisper Kabuter Ka Ek Ghonsla Tha! Us Ghonsle May Kabuter. Ke 2 Bacche The! Tumne In Dono Bacchon Ko Pakad Liya! Bacchon Ki Maa Ne Jab Dekha To Wo Maa Apne Bacchon Per Giri To Tumne Use Bhi Pakad Liya! Wo Dono Bacche Aur Unki Maa Is Waqt Bhi Tumahre Paas Hain Aur Is Aastin Ke Ander. Hain!

Arbi Yeh Sunker Hairaan Reh Gaya Aur Zhat Pukaar Utha-

“Ash-Hadu-Al-La-Ilaha-Illallah-Wa-Ash-Hadu-Anna-Ka-Rasoolullah”

(Jaami-Ul-Moajizaat Pg-21)

*********************************
SABAK:-
*********
Hamare Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Se Koi Chiz Pinha Na Thi! Ek Arbi Bhi Is Haqiqat Ko Jaanta Tha Ki Jo Nabi Ho Wo Gaib Jaan Leta Hain! Fir Jo Bara-A-Naam Padha-Likha Hoker Huzoor Ke Ilm Ko Taslim Na Kare Wo Ujjad Aur Gawaar Se Bhi Zyada Ujjad Aur Gawaar Hua Ya Nahi?

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm