Islamic Blog

*Aksar Dekha Jata Hai Ke Nikah Ke Liye Gori Aur Khubsurat Ladki Ka Intekhab Karna Kuch Jyada Hi Aham Samjha Jata Hai, Tou Kya Wakay Me Shariyate Islamiya Rangat Ka Tassuf Pasand Karta Hai ?

Aayiye Iski Hakikat Dekhte Hai Ke: Kya Wakay Me Islam Ne Rangat Ke Aitbaar Se Bhi Kabhi Tassub Pasand Kiya ?
2665 *Sabse Pahli Baat Ke: Allah Rabbul Izzat Surah Luqman Ki Ayaat 22 Me Farmata Hai Ke –
“Tumhare Zubaan Aur Rango Ka Ikhtelaf Bhi Allah Ki Nishani Hai” – (Al-Quran:31:22)

*Tou Beharhaal Ye Baat Tou Wajeh Hai Ke –
Rangat me Variations Ye Allah ki Taraf Se Hai, Lihaja Rangat ke Aitbaar Se Koi Kisi Se Afzal Aur Mafzul Nahi ,..
*Lekin Beharhaal Agar Koi Ye Pasand Kare Ke Uskey Nikah Ke Liye Khubsurat (Gori) Ladki Miley Tou Isme Koi Harz Nahi ,..
– Lekin Harz Yaha Hota Hai Ke Deendaari Aur Akhlaq Wo Tamam Cheezo Ko Chorrkar Sirf Khubsurati Aur Gorey Rang Ko Tarji Di Jati Hai ,…

– Aur Jo Log Nikah Ke Muamle Me Deen Ko Tarji Nahi Detey Unke Hath Kya Lagta Hai Beharhaal Bataney Ki Jarurat Bhi Nahi ,..
– Aur Yahi Hota Hai Jo Deen Ko Tarji Nahi Detey Aur Duniya Ke Sab Muamlo Me Ulztey Hai Ke, Ladki Ka Rang, Uske Khandan Ka Rang, Uska Nanhiyaal Aur Dadiyal, Falah Aur Falah Hazaar Tehkik Ki Jaati Hai … Subhan’Allah!!

*Jabki Deendaari Hi Sabse Awwal Hai ! Uske Baad Sabkuch Mil Jaye, Alahmdulillah! Shariyat Gorey Rang Aur Khubsurti Ke Khilaf Nahi Hai ,..
– Lekin Deendari Na Ho Aur Baaki Sab Kuch Ho,.. Tou Nahi Chalega Mere Bhaiyo Yaad Rakhiye ,..

*Fir Baadme Pachtatey Hai Ke –
– Kash Deendar Ladki Se Nikah Karta Tou Meri Farmabardari Karti, Meri Izzat Karti, Mujhe Logon Me Ruswa Nahi karti ,.. Apni Izzat-o-Aabru ki Hifazat Karti ,.. Mere Aulaad Ki Acchi Tarbiyat Karti ,..

*Tou Beharhaal Nikaah Ke Liye Deendari Ko Tarji Dijiye ,..
– Deendar Ladki Hogi Tou Aulad Deendar Hogi, Marne Ke Baad Sawabe-Jariya Banegi ,..
– Aur Deendar Aulad Tou Badi Aham Cheez Hai,.. Jo Marne Ke Baad Humare Liye Dua-e-Magfirat Karengi ..
*Tou Aesi Aulad Agar Chahte Hai Tou Nek Ladki Ka Intekhab Kare,.. Fir Rangat Unke Chahe Jaise Ho ,..

2665 Aur Isi Baat ko Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Aur Kaha:
“Aurat Se 4 Cheezo Ki Wajahse Nikah Kiya Jata Hai,
*1. Uska Maal, *2. Husn Wa Jamal, *3. Uska Khandan, *4. Uski Deendari.
Lekin Tum Deendari Ko Thaam Lo”
– (Bukhari: Jild 3, Safa 59) –

*Lihaja Nikah Me Rangat Ka Usool Choriye Aur Deendari Ko Lazim Banayiye Jo Duniya Aur Aakhirat Ki Kamiyabi Ka Sabab Baney …

2665 In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ..
# Hum Tamam Ko Nek Aur Deendar, Muttaqi Aur Parhezgaar Shareek-e-Hayat Nasib Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm