Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Hazrat Abdullah Ibne Waasan Rehmatullah Ta’aala Alaihi Farmate Hain Ki Maine Ek Dafa Basre Ke Bazaar May Ek Ladke Ko Dekha! Jo Ro Raha Tha! Maine Usse Pucha, Beta! Kyon Rote Ho? Bola, Dozak Ki Aag Se Dar Ker Ro Raha Hoon! Maine Kaha Ki Tum Kamsin Ho Tumeh Dozak Ki Aag Se Kya Dar Hain? Wo Bola, Maine Apni Maa Ko Dekha Hain Ki Jab Wo Choolah Jalati Hain To Badi-Badi Lakdiyon Ko Jalane Keliye Niche Choti-Choti Lakdiyan Bhi Rakh Deti Hain, To Yun Darta Hoon Khuda-A-Ta’aala­ Bade-Bade Nafarmaano Ko Jalane Keliye Mujh Jaise Choton Ko Bhi Aag May Na Daal De!Main Us Kamsin Ladke Ki Guftagu Se Bada Mutassir Hua! Usse Kaha, Beta! Kya Tum Mere Paas Rehna Manzoor Karoge? Wo Bola, Haan! Magar Chnd Sharton Per Ki Mujhe Bhook Lage To Khana Khilao! Pyaas Lage To Pani Pilao Aur Main Marjaoun To Mujhe Zinda Kerdo!Maine Kaha, Beta! In Sab Baaton Per Main Qudrat Nahi Rakhta, To Wo Bola, To Fir Jayiye Apna Kaam Kijiye! Main Jis Aaqa Ke Der Per Mulazim Hoon Wo In Sab Baaton Per Qaadir Hain!(Rauzur-Riyahee­n, Pg-94)

**************************************
SABAK:-
********
ALLAH Ke Azaab Se Darte Rehna Chahiye! Yeh Bhi Malum Hua Ki Pehle Zamane Ke Chote-Chote Bacche Bhi ALLAH Ke Azaab Se Darte The! Aajkal Bade-Bade Bhi Gaflat Ki Zindagi Guzaar Rahe Hain!***************

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm