Islamic Blog

Har aadmi kapde pahnta hai Agar yahi kapde Nabi sallaallahu alaihi wasallam k Tariqe per pahne jayen to sirf kapde pahnte huwe Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki kai Sunnaton per Aml hojayega, Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki Muhabbat ka taqaza yahi haik Aap k har aml se mohabbat paida hojaye aur hamari Zindagi Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki Zindagi k Tabe hojaye.
Hum Rozana hi kapde pahnte aur utarte hai, yahi kapde utarna aur Pahenna Nabi sallaallahu alaihi wasallam k Tariqe k mutabiq ho jaye to hamari Zindagi Sunnaton se Mamoor ho jaye gi.
Hum Gusul karte hai to kapde utarte hai, sone ka Irada karte hai to kurta wagaira utarte hai Phir bedar hote hai to kapde badal lete hai, aise moqo per Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki in Sunnaton ko yaad rakh ker aml karliya jaye to Kya Farq padh jaye ga?

1.Kapde pahnne aur utarne ki Pahli Sunnat ye hai k kapde pahnte huwe Aur utarte huwe Bismillah kaha jaye.

2.kapde pahente huwe chahe hum kurta pahnen ya Chadar odhen ya aur koi kapda pehne ya amama Bandhe to ye dua padhe, jo Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Padha karte the. “Allahummainnee as aluka min khairihi wa khairi maa huwa lahu wa a u’oozubika min sharrihi wa sharri maa huwa lahu”.( Abudawood, Tirmizi)

3.kapde Pahnte huwe sidhe janib se shuru Kare agar ham kurta, Qamees, wagaira pahenrahe hai to sidhe hath se shuru Karen, isi tarah pajama pahne to sidhe pair se shuru kare, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Ne irshad Farmaya,
(اِذَ لَبِستُم فَابدُوابِاَیمَانِکُم)
Iza labistum Fab’du biaimanikum (tirmizi) Jub tum Pahno to sidhi janib se shuru karo.

4.Kurta pahenna masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam sub kapdon me kurte ko zyada psnd farmate the.(shamail tirmizi).

5.Sufaid kapda pahenna bhi masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya, Sufaid kapda pahna karo is liye k wo zyada paak saaf Rahta hai.( shamail tirmizi).

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)