Islamic Blog

HIQAYAT
*********
Hazrat Imaam Hasan Radi-Allahu-Ta’ aala-Anhu Ke Yahan Ek Mehmaan Aaya! Usne Khana Khane Ke Baad Sharbat Talab Kiya! Hazrat Imaam Hasan Radi-Allahu-Ta’ aala-Anhu Ne Daryaft Farmaya Ki Aapko Kaunsa Sharbat Darkaar (Pasand) Hain? Mehmaan Ne Jawab Diya Wo Sharbat Jo Na Milne Ke Waqt Jaan Se Zyada Keemti, Aur Mil Jane Ke Waqt Nihayat Kam Keemat Hota Hain! Imaam Sahab Ne Naukaron Se Farmaya Mehmaan Pani Maangta Hain! Haazireen Ko Aapki Jahanat Per Nihayat Hairaani Hui!

(Mughniyul Wayizeen Pg-218)

*************** *************** **
SABAK
*******
Pani Khuda-Ta’aala Ki Ek Badi Gira-Qadr Aur Keemti Nemat Hain! Shaikh Saadi Alaihirehman Farmate Hain Murgi Ko Dekhiye Ki Ek Ghoont Pani Ka Piker Fauran Apna Mooh Uper Aasmaan Ki Taraf Uthaker Goya ALLAH Ka Shukr Ada Kerleti Hain! Magar Afsos Ki Gaafil Insaan Bisiyon Man Pani Piker Bhi ALLAH Ka Shukr Ada Nahi Karta!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm