(1) Khana khane se pahle hamesha hath dhona chahiye (isse hatho ki gandagi nikal jayegi)
(2) Jab khana shuru kare to ‘Bismillah’ padhe, (warna aapka khana shaitan ke pet mein chala jayega).
(3) Khana hamesha beth kar khaiye. (ye sunnat bhi hai aur sehat ke liye bhi accha hai)
(4) Khana sir dhak kar khaiye
(6) Khana hamesha sidhe (right) hand se khaiye.
(7) Koshish kariye ki khana sidhi daadh (right side ke teeth) se chaba kar khaiye
(8) badi roti ko daant se kaat kar na khaiye balki usko taud kar, uske tukde ko khaiye.
(8) Khana utna hi lijiye jitna aap kha sakte ho, zyada khana lekar bekar na kare.
(9) Khana ukdu beth kar khana behtar hai
(10) Khane ke shuru mein thoda paani pijiye aur beech mein paani pijiye, ye sehat ke liye bhi faidemand hai lekin aakhri mein paani mat pijiye, paani khane ke 1 ghanta baad pijiye. Jo khane ke foran baad paani pite hain unko aisa karne mein thodi takleef hogi lekin kuch dino baad aadat ho jayegi.
(11) Agar ek plate mein zyada log kha rahe hain to Apne saamne se khaiye, akele ho to kahi se bhi khaiye, lekni beech mein se kabhi mat khaiye, kyonki beech mein barkat utarti hai.
(11) Agar kisi dusre ke saath beth kar kha rahe hain to usko akela chhod kar na uthe, balki jab tak wo na kha le aap bhi na uthe, agar kuch zaruri kaam ho to usse puchh kar uthe.
(12) Khane mein muh se awaz na nikle
(13) Khana acche se chaba kar aur aaram se khaiye. Jisse hazam hone mein takleef na hogi.
(14) Khane mein duniya ki baat na kijiye aur na hi chup rahiye, balki Allah ka zikr karte hue khaiye.
(15) Khana hamesha bhuk se kam khaiye, khub pet bhar kar na khaiye, ye sehat ke liye nuksan dayak hai.
(16) Jab bhuk lage tabhi khaiye, bager bhuk ke na khaiye.
(17) Khana kha lene ke baad khane ke baad ki dua padhiye (jisme Allah ka shukr kiya jata hai)
(17) Khana khate time koshish kariye ki khana humse uchi jagah rakha ho, barabri mein rakha ho to bhi thik hai, humse neeche nahi hona chahiye.
(18) Khana kha lene ke baad pahle khana uthaiye phir khud uthiye.
(19) Jo khane ke daane dastarkhwan ya tray mein gir gaye hain unko utha kar kha lijiye, kyonki jin daano mein barkat hoti hai shaitan unko neeche gira deta hai, lekin kisi dusre ke saamne ka na khaiye kyonki ho sakta hai usne kisi wajah se muh se nikal kar rakha ho.
(20) Dophar ke khane ke baad 15-20 minute sidhi karwat se soiye, isse sehat acchi rahti hai aur sunnat tarika bhi hai. Raat ke khane ke baad tahaliye, lekin zyada bhi na tahle.
(21) Raat ka khana kabhi na chhodiye, chahe thoda sa hi khaiye. Raat ka khana chhodne se kamzori/budhapa jaldi aata hai.
(21) Khana kha lene ke baad agar khana ungli par chipka hai to usko muh se saaf kar lijiye.
(22) Khana khane ke baad hath khane ke bartan mein mat dhoiye.
(22) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Ne Kabhi Bhi Khaane ki Burai Nahi ki, Pasand Aaya to kha liya warna nahi (khaya).
(23) Hazrat Muhammad (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) ne irshaad farmaya : Main tek lagakar khana nahin khata. { Shamail Tirmizi Hadees 131 }
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017