Islamic Blog

Jab bhi hum kuch khaaen ya piyen to sabse pahle Bismillah padhen, Agar humne Bismillah nahi padha to hum jo bhi khaate ya peete hain, usme hamare saath shaitan bhi kha-pi leta hai, aur hamare khaane ki cheezo mein apni laar bhi girata jata hai, jab hum kisi insan ki laar gira hua khana pasand nahi karte to kya shaitan ki laar gira khana pasand karenge, agar nahi to phir Khane ya peene se pahle Bismillah padha kariye.
Ek dusri hadees mein ye bhi hai (jiska mafhoom ye hai) ke khaane peene se pahle bismillah padh liya karo taake tumhare saath wala shaitan kamzor ho jaae, kyonke jab wo khaaega piyega nahi to kamzor hota jaega, aur tum khud hi usko khilaoge-pilaoge to wo mazboot bana rahega.

●Hadees : Rasool Allaah ﷺ Ne Farmaya Ki Jis Khane Par Bismillah Na Padhi Jaye Shaitan K Liye Wo Khana Halal Ho Jata Hai. Ya’ani Bismillah Na Padhne Ki Surat Me Shaitan Us Khane Me Shareek Ho Jata Hai.
Ref→(Muslim Shareef)
●Hadees : Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jab Koi Shaks Khana Khaye To Allaah Ka Naam Zikr Kare Ya’ani Bismillah Padhe. Aur Agar Shuru Me Bismillah Padhna Bhool Jaye To Youn Kahe.بسم اللہ اوله واخرہ (Bismillahi awwala-hu wa aakhe rahu)

Khana Shuru Karne Se Pahle Ki Dua
Bismillahe Wa Ala Barka-tillahe
Iske padhne se shaitan aapke saath nahi kha paaega, khaane mein barkat hogi, sunnat ada hogi. Allah khush hoga, shaitan kamzor hoga.

Jab Shuru Mein Padhna Bhool Jaae Aur Beech Mein Yaad Aa Jaae To Ye Padhen
(Bismillahi awwala-hu wa aakhe rahu)
Iske padhne se shaitan ne jitna aapke saath kha liya, aapke ye padhte hi wo khana uske pet mein na rahega.

Jab khana kha chuke to ‘Alhamdulillah’ kahiye, Allah ka shukr ada kijiye.

Jab kisi ke sath kha rahe hon, to thodi zor se bhi bismillah padh sakte hain, taake agar aapka koi saathi padhna bhool gaya ho to usko yaad aa jaee aur wo bhi padh le.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm