Islamic Blog

1. khana khane se pehle bismillah (Bismillahi wa ala baraka Tillah) padhlena chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne aik km umr sahabi R.A se khitab karte huwe ye hukum diya, “ aye bacche! Allah ka Naam lo, sidhe hath se khao aur apne samne jo hai waha se khao”.
(Muslim)

2. is hadees se bismillah k alawa aur 2 sunnaton ka saboot mila wo ye k sidhe hath se khana chahiye,

3. aur teesri sunnat ye hai k Apne samne se khayen yani jo cheez apne samne hai wo khayen.

4.khane k douran agar luqma gir jaye to us ko saaf kar k khalena chahiye Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya: Jub tum me se kisi k hath se luqma gir jaye to jo kuch us ko laga ho wo door karde phir khale.(Muslim)

5.Teen ungliyon se khayen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Teen ungliyon se khaya karte the.(Muslim)

Han!Agar koi aisi cheez ho jis ka Teen ungliyon se khana mumkin na ho to phir gunjayesh hai char ya panch ungliyon se khayen.

6. khane k baad bartan ko saaf Karen aurungliyon ko chat lain, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne ungliyon ko chat laineaur bartan (plait) ko saaf karne ka hukum diya aur farmaya k tum nahi jantek kis dane me barkat hai.

7. khane k baad Allah Tala ki Hamdo sanabayan Karen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya , Allah Tala us bande se razi hote hai jo khaye phir us per Allah Tala ki tareef bayan Karen.(Muslim)

8. Khane k baad ki wo dua padhe jis me Allah ki Hamd-o-sana hai, “Alhamdulillahilladzi at ‘amana wasaqana waj ‘alna minal muslimin” Shukr hai Allah ka jis ne hum ko khilaya aur pilaya aur hum ko musalman banaya.(jame tirmizi)
1.Dono hath gattho tak dhona.
2.Dastarkhwan bichana.
3.Bismillah padhna.
4.Daye hath se khana (baye hath se har giz na khaye).
5.Apne samne se khana Agar tashtari me kai qisam ki cheezen ho to jopasnd ho wo khaye kisi ka hath badh raha ho to Apne hath ko rok le.
6.Teen ungliyon se khana.
7.Pyala tashtari Neez ungliyon ko chat kar saaf karna.
8.Agar luqma gir jaye to utha kar khalena.
9.khane me ayeb na lagana.
10.Taik laga kar na khana.
11.khane k baad ki dua padhna.
12.pehle dastarkhwan uthana, phir khud uthna.
13.kulli karna.
14.dono hath dhona.
15.khane se pehle bismillah bhool jaye to ye dua padhe (bismillahi awwalahu wa akhirahu).
Allah k Naam k sath khane k shuru me bhi aur us k Aakhir me bhi.(Sunan Abi Dawood).

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)