Islamic Blog

Khatoon-e-Janna t
Hazrate Fatima (RaziAllahu
Anha) Jab Bimaar Hui To
Hazrat Ali (RaziAllahu
Anhu) Ne Farmaya–“Aye
Fatima! Meri Yeh Wasiyat
Hain Ki Jab Rasool’Allah
(Sallallahu Alaihi Wasallam)
Ke Paas Pahucho To Mera
Salaam Arz Karna Aur
Kehna, Ya Rasool’Allah!
Main Aapka Mushtaq Hoon!”
Hazrate Fatima (Razi’Allahu
Anha) Ne Farmaya Ki,
“Meri Bhi Ek Wasiyat Hain
Ki Jab Mera Inteqal Ho
Jaye To Mujh Per Cheekh-
Chillake r Matam Mat
Karna Aur Mere Noor-e-
Chasm Hasan Aur Husain Ko
Maarna Nahi!” Aye Sher-
A-Khuda! Wo Dekhiye
Huzoor (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Bahot Se
Farishton Ke Sath Tashrif
Le Aaye Hain! Ab Mai Ja
Rahi Hoon! Aur Mere
Intekaal Ke Baad Fala
Jagah Maine Ek Kaagaz Ka
Tukda Badi Hifazat Se
Rakha Hain! Us Kaagaz Ko
Nikaal Ker Mere Kafan Me
Rakh Dena Aur Usey
Parhna Nahi! Hazrat Ali
(RaziAllahu Anha) Ne
Farmaya–“Fatima!
Rasool’Allah Ka Waasta
Deker Kehta Hoon Ki Mujhe
Bata Do Ki Uss Kaagaz Me
Kya Likha Hain?” Hazrate
Fatima (Razi Allahu Anha)
Ne Farmaya Ki,“Jab Mera
Nikah Aapse Hone Laga Tha
To Huzoor (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ne Mujhse
Farmaya-Aye Fatima! Main
Ali Se 400 Miskaal Chandi
Ke Maher Per Tumahra
Nikah Karne Laga Hoon!”
Maine Arz Kiya, Ya
Rasool’Allah! Ali Mujhe
Manzoor Hai Lekin Itna
Maher Mujhe Manzoor Nahi!
Itne Me Jibrayil Amin Ne
Haazir Hoker Huzoor Se Arz
Kiya, Ya Rasool’Allah!
Khuda Farmata Hain Ki
Main Jannat Aur Uski
Neymatain Fatima Ka
Maher Mukarrar Karta
Hoon! Huzoor Ne Mujhe Iski
Khaber Di To Main Fir Bhi
Razi Na Hui! Huzoor
(Sallallahu Alaihi Wasallam)
Ne Farmaya– “To Fir Khud
Hi Batao Ki Mehar Kya
Ho?” Maine Arz Kiya Ya
Rasool’Allah! Aap Har Waqt
Apni Ummat Ke Gham Me
Rehte Hain! Mai Chahti
Hoon Ki Aapki Gunahgar
Ummat Ki Bakshish Mera
Maher Ho!” Chunanche,
Jibrayil Amin Wapas Gaye
Aur Fir Yeh Kaagaz Ka
Tukda Leker Aaye Jisme
Likha Hai -“Main Ne
Ummat-e-Muhamma d
(Sallallahu Alalihi Wasallam)
Ki Shafa-at Fatima Ka
Maher Mukarrar Kiya” –
(Jaami-Ul-Moaji zaat Misri
Pg-62)
Sabak : Huzoor (Sallallahu
Alaihi Wasallam) Ke Sadqe
Me Hum Gunahgaron Per
Allah Ka Bada Fazl Wa
Karam Hain Ki Huzoor Ki
Sahab-Zaadi Ko Bhi Hum
Gunahgaron Ka Khayaal
Raha Aur Wo Hamari
Bakshish Ka Intezaam
Farma Gayi! Fir Yeh Kehna
Ki Un Allah Walon Se Kuch
Haasil Nahi Hota, Kis-Qadr
Jahaalat Ki Baat Hain! Yeh
Bhi Malum Hua Cheek-
Chillaker Matam Nahi Karna
Chahiye! Iss Cheez Se Khud
Khatoon-e-Janna t Ne Bhi
Mana Farmaya Hain!

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm