Islamic Blog

KHATOONE JANNAT

Aye Sher-A-Khuda!
Wo Dekhiye Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Bahoat Se
Farishton Ke Sath Tashrif Le Aaye Hain!
Ab Main Ja Rahi Hoon! Aur Mere Inteqaal Ke Baad Fala Jagah Maine Ek
Kaagaz Ka Tukda Badi Hifazat Se Rakha Hain!
Us Kaagaz Ko Nikaal Ker Mere Kafan May Rakh Dena Aur Use Padhna Nahi!
Hazrat Ali Ne Farmaya, Fatima!
Rasoolallah Ka Waasta Deker Kehta Hoon Ki Mujhe Bata Do Ki Us Kaagaz
May Kya Likha Hain?
Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Farmaya Ki Jab Mera Nikah
Aapse Hone Laga Tha To Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne
Mujhse Farmaya-
Aye Fatima! Main Ali Se 400 Miskaal Chandi Ke Maher Per Tumahra Nikah
Karne Laga Hoon!
Maine Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Ali Mujhe Manzoor Hain Lekin Itna
Maher Mujhe Manzoor Nahi!
Itne May Zibrayil Amin Ne Haazir Hoker Huzoor Se Arz Kiya,
Ya Rasoolallah! Khuda Farmata Hain Ki Main Jannat Aur Uski Nematain
Fatima Ka Maher Mukarrar Karta Hoon!
Huzoor Ne Mujhe Iski Khaber Di To Main Fir Bhi Razi Na Hui!
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya,
To Fir Khud Hi Batao Ki Maher Kya Ho?
Maine Arz Kiya Ya Rasoolallah! Aap Har Waqt Apni Ummat Ke Gham May
Rehte Hain! Main Chahti Hoon Ki Aapki Gunahgar Ummat Ki Bakshish Mera
Maher Ho!
Chunanche, Zibrayil Wapas Gaye Aur Fir Yeh Kaagaz Ka Tukda LekerAaye
Jisme Likha Hain-
“Maine Ummat-A-Muhammad Ki Shafa-at Fatima Ka Maher Mukarrar Kiya”
(Jaami-Ul-Moajizaat Misri Pg-62)
SABAK:-
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Sadqe May Hum Gunahgaron
Per ALLAH Ka Bada Fazl Wa Karam Hain Ki Huzoor Ki Sahab-Zaadi Ko Bhi
Hum Gunahgaron Ka Khayaal Raha Aur Wo Hamari Bakshish Ka Intezaam
Farma Gayi!
Fir Yeh Kehna Ki Un ALLAH Walon Se Kuch Haasil Nahi Hota, Kis-Qadr
Jahaalat Ki Baat Hain!

khan khol k sunlo ay Gustake ahle bait tum jab tak momin nahi ban sakte jab tak tumare dil me ahle bait ki sachi mohabbat na ho

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm