Hazrat Ibne Abbas رضی الله عنہ Dophar Ke Waqt Huzur ﷺ Ko Khawab Me Dekha Ke Apke Sar-E-Aqdas Aur Dadhi Mubarak Ke Baal Gubar Aalud hai Aur Khoon Se Bhara Huwa Shisha Aapke Daste Aqdas Me hai,..
Mene Arz Kiya Mere Maa-Baap Aap Par Kurban Ye Khoon se Bhara Shisha Kesa hai??? Huzur ﷺ Be Ba’deede Tarr Irshad Farmaya Ke Aaj Subha Se Hussain Aur Unke Rufqa Ka Khoon Jama Kar raha hu, Is Shishe Me Hussain Aur Unke Sathiyo Ka Khoon hai Hazrat Ibne Abbas Farmate hai Ke Me Ye Baat Sunkar Chonk Pada, Jab Sahadate Imam-E-Aali Maqam رضی الله عنہ Ki Khabar Aayi Aur Mene Khawab Ke Waqt Par Gour kiya To Mere Khawab Dekhne Aur Sahadate Imam Ka Waqt Ek hi tha…
⛩KHOON SE BHARE BARTAN…
Naziyah Azmiyah Kehti hai Ke Jis Din Imam-E-Aali Maqam رضی الله عنہ Medane Karbala Me Saheed Huwe Uske Dusre Roz Hum Log Subha Uthe to Tamama Bartan Khoon Se Bhare Huwe the..
⛩DIN KO TAARE NAZAR AAYE…
Bad Sahadat Aasman Itna Tareeq Ho Gaya Tha Ke Din ko Taare Dikhayi Diye Ek Riwayat me Hai Ke 7 Din Tak Aasman Is Qadar Tariq Raha ke Deeware Esi Maloom Hoti thi Goya Suhab Me Rangi Huyi hai Aur Sitare Aapas me Ek Dusre se Takrate Huwe Nazar Aate the…
⛩AASMAN SE KHOON BARSA….
Abu Saeed Farmate hai Ke Duniya Bhar me Jaha bhi Jo bhi Patthar Uthaya Gaya Uske Niche Se Taaza Khoon Nikla Aasman Se Khoon Barsa, Khurasan, Shaam, Koofa Wagera me Har Ghar Ke Darr Wa Deewar Par Khoon Hi Khoon Nazar Aata tha Jinke Kapdo Par Ye khoon Pad Gaya Tha, Unke Kapdo Ka Ek Taar Alag Ho Gaya Magar Khoon Ka Dhabba Nahi Gaya…
⛩SHAFAK KI SURKHI…
Ulema Farmate Hai Ke Shafak Ke Sath Jo Tez Surkhi Dekhi Jati hai Ye Sahadate Imam Se Pehle Na thi, Baad Sahadat 6 Mahine Tak Aasman Ke Kinare Surkh Rahe Fir Surkhi Zahir Huyi…
⬆To be Continued…inshaAllah
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021