HIQAYAT
*********
Fateh Khaiber Ke Baad Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Wapas Aarahe The Ki Raste May Aapki Khidmat May Ek Gadah Haazir Hua Aur Arz Karne Laga-Huzoor! Meri Arz Bhi Sunte Jayiye! Huzoor Rehmat-A-Aalam SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Us Miskin Jaanwar Ki Arz Sunne Ko Taher Gaye Aur Famaya: Batao Kya Kehna Chahte Ho? Wo Bola, Huzoor Mera Naam Yazeed Bin Shahaab Hain Aur Mere Dada Ki Nasl Se Khuda Ne 60 Khar Paida Kiye Hain! Un Sab Per ALLAH Ke Nabi Sawaar Hote Rahe! Huzoor, Mere Dil Ki Yeh Tamanna Hain Ki Mujh Miskin Per Huzoor Sawaari Farmayen! Ya Rasoolallah! Main Is Baat Ka Mustahiq Hoon! Wo Is Tarah Ki Mere Dada Ki Aulaad Mayse Siwa Mere Koi Baaki Na Raha Aur ALLAH Ke Rasoolon Mayse Siwa Aapke Koi Baaki Na Raha!Huzoor Ne Uski Yeh Khwaish Sunker Farmaya, Accha Ham Tumeh Apni Sawaari Keliye Manzoor Farmate Hain Aur Tumahra Naam Badalker Ham YAFOOR Rakhte Hain!
(Hujjatullah Alal-Aalameen pg-460)
*********************************
SABAK
*******
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Khatm-A-Nubuwat Ka Ikraar Ek Gadah Bhi Kar Raha Hain! Fir Jo Khatm-A-Nubuwat Ka Inkaar Kare, Wo Kyon Na Gadeh Se Bhi Badhter Ho!
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022