Islamic Blog

1) Duniya Ke Andar DEEN Nahi He, BALKE DEEN Ke Andar Duniya He – Iska matlab ye hua ki agar koi insan duniya mein doob jata hai to wo islam se door ho jata hai lekin agar islam ki baat par chalta hai to usko islam aur duniya dono mil jaate hain, kyonki islam mein duniya se door hone ko mana farmaya hai, balki duniya ke saare zaruri kaam karte hue islam par chalna hai, isliye islam mein duniya ko chhod kar jangal mein jaakar Allah ki ibadat karna mana hai, balki duniya mein rahkar shaadi karna, ghar walon ke liye halal tarike se kamana, apne bacchon ki acchi parwarish karna, ye sab zaruri hai, aur in sab kaamo ko karte hue gunaho se bachna aur Allah ki ibadat karna huzoor sallallahu alaihi wasallam ki sunnato par chalna hi sahi tarika hai.

(2)Gunaah Par TABIYAT Khud Chalti Hai, Magar NEKI Par TABIYAT Ko Lana Padhta He -Insan ke piche uska nafs aur shaitan hamesha laga rahta hai jo hamesha gunah ki aur insan ko khichta hai, lekin aese mein insan ko apne nafs par kaabu rakh kar, aur shaitan ko dhutkaar kar Allah ke hukm aur huzoor sallallahu alaihi wasallam ke tarike par koshish karke zindagi guzarna chahiye.

(3)Aaj Amal Hai HISAB Nahim Kal HISAB Hoga Amal Nahi –
Iska matlab ye hai ki duniya mein insan ko Allah ne acche kaam karne ka hukm diya lekin ye thodi power bhi usko de di ki ab uski marzi ki wo chahe to acche kaam kare ya chahe to bure kaam kare. Duniya mein uske kaamo ke baare mein koi hisab nahi liya jaayega. Lekin marne ke baad insan ke pass acche ya bure kaam karne ka power khatam ho jaayega aur Allah duniya mein kiye uske kaamo ka usse hisab lega aur uske hisab se hi usko dozakh ya jannat mein bhejega, Isliye kaha gaya hai ki duniya mein acche/bure kaam kar sakte ho yaha Allah hisab na lega, marne ke baad kuch nahi kar sakte aur phir waha Allah hisab lega

(4) Aaj Ek AANSU Ka Qatra DOZAKH Ki AAG Ko Bujha Sakta Hai
Kal AANSU Ke SAMANDAR Se DOZAKH Ki Aag Ki Ek CHINGARI Bhi Nahi Bujhegi -Iska matlab ye hai ki duniya mein rahte hue agar insan apne gunaho/ galtiyo ki Allah se ro-ro kar maafi maang leta hai to Allah usko dozakh se bacha lega aur uske gunaho ko maaf kar dega, lekin agar usne duniya mein apne gunaho ki maafi Allah se nahi maangi to phir marne ke baad wo Allah ke saamne kitna bhi roe, Allah usko maaf nahi karega. Kyonki duniya kaam karne ki jagah hai aur akherat fal ki jagah hai.

YA ALLAH Hame Marne Se Pehle MaUT Ki Taiyyari Karne Ki Taufeeq Ata Farma Aameen

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm