Islamic Blog

Hazrat Amra bint Aburrahman wa Hazrat Maula Ali Radiallahu anhu se Riwayat he Ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:

“Raja’at yani dudh ke rishte se bhi wahi rishte haram ho jate he, Jo wiladat se haram ho jate hai.”

(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 62, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 587)

Yani jisne bachpan me kisi aurat ka dudh piya to usse Maa ka rishta ho jata he. Ab uski beti Behen he usse Nikah Haram hai.

Allah Ta’ala Quran Paak mein irshad farmata hai,
“Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye.”

(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)

Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se imaam bukhari radiallahu anhu se Riwayat kiya
“Char se jyada Biwiya isi tarah Haraam he jaise Aadmi ki Beti Aur Behen”

(Bukhari Sharif, Jild 3, Bab no 54, Safa 64)

Allah irshad farmata hai
“Aur Mushriko ke nikah me Na do Jab tak wo Imaan Na laye.”
(Tarjuma: Kanzul Iman, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)

Allah irshad farmata hai
“Aur Shirk wali Aurato se Nikah na karo Jab tak Musalman Na ho Jaye”
(Tarjuma: Kanzul imaan, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm