Islamic Blog

AS salaam alaikum

Bahut se logo ka maanna hai ke jaadu nahi hota, lekin jaadu quran aur
hadees se saabit hai.

Agar Allah chahe to duniya se jaadu jesi har buri cheez ko khatam kar
sakta hai lekin, duniya se har buri cheez ke khatam hone ke baad insan
ka exam hi kaha bachega. Exam to tab hoga jab acchi cheez aur buri
cheez dono saamne ho aur phir insan acchi cheez ko chune.

Kuch jaadugar kharab aur gande kaamo se jese latrine ka khana, ya
murde ka gosht khana, ya murde se sohbat karna, ya quran ya namaz ki
behurmati karke ya apni hi beti se sobhat (sex) karke wo shaitan ko
khush karte hain badle mein shaitan unko kuch kharab power deta hai,
jitna ganda kaam jaadugar karega, shaitan usko utna hi power dega.
Iske liye wo kuch kharab ‘Jinnat’ ko jaadugar ko deta hai aur jaadugar
unse apne kaam leta hai.

Jis tarah insan hote hain usi tarah jinnat bhi hote hain, unki bhi
shadi hoti hai, wo business bhi karte hain, khate-peete bhi hain, unme
hindu-muslim bhi hote hain. Jo kharab jinnat hote hain wo shaitan ke
saathi hote hain, shaitan unko hi jaadugar ka saath dene ko bolta hai,
Kai jinnato ko jaadugar zabardasti bhi kabze mein le leta hai.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke sar ke baalo ko lekar
bhi kuch aurato ne aap par jaadu kar diya tha, jiski wajah se aapke
sar mein dard rahne laga tha, isi jaadu ke tod mein Allah ne quran ki
2 surate bheji, (1) Surah Falaq aur (2) Surah naas. Isko padhne se
hazrat Muahammad (sallallahu alyhiwasallam) par kiya gaya jaadu khatam
ho gaya.

Isliye har insan ko subah shaam charo qul padhna chahiye, jisse insan
bahut saari buri baato se bacha rahta hai.

Bahut se log miya-biwi mein ladai karane, kisi ka business band
karwane, kisi ko bimar karwane, kisi ko jaan se maarne ke liye, ya
kisi ladki/ladke ko apne kabze mein karne ke liye jaadu karwa dete
hain, lekin Jis insan ne kisi dusre insan par jaadu kiya ya karwaya to
uska imaan chala jata hai aur Allah ke yaha iska bahut bada azaab hai,
kyonke jaadu Allah se hat kar shaitan ki panah mein jaakar, usko apna
sab kuch maan kar kiya jaata hai. Isliye jaadu karne waalo aur jaadu
karane waalo se bahut door rahna chahiye.

Allah hum sabko bure kaamo se bachae aur hamari hifazat farmae, aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm