Islamic Blog

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne
farmaya “Is duniya ki saari cheezo mein sabse
pehle Allah ne kalam (pen) ko banaya aur usko
likhne ka hukm diya. Kalam ne (pen) ne kaha “Ya
Rab, kya likhu”? Allah ne usko kayamat tak ki poori
kaaynat (universe) ki kismat likhne ka hukm diya.”
– abu daud
Fir usne us time se kayamat tak hone waali saari
baato ko likh diya.
Ek dusri hadees mein Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya) “Allah ne
apni makhlooq (Allah ne jo bhi banaya hai) uski
kismat ko zameen aur aasmaan banane se 50
hazar saal pehle likha hai.” Us time se kayamat tak
duniya mein jo kuchh ho raha hai ya hoga, Allah ki
kalam un baato ko Allah ke hukm se pehle hi likh
chuki hai.
Bhaiyo-bahno, Hamare saath bhi jo kuch ho raha
hai ya hoga wo Allah ki kalam pahle hi likh chuki
hai, aksar log aesi baat karte hain ke agar wo aesa
kar leta to aesa ho jata…… jabki Allah ne har kisi
ki kismat pahle hi likh di hai, Log khud ke ilm
(knowledge), sehat, maal, izzat, khubsurati ya
baccho par ghamand karte hain, jabki ye sab Allah
ne unki kismat mein likha tha, isliye unko mila.
Isliye har baat par Allah ka shukr ada kariye aur
ghamand se bachiye. Isi tarah kisi ki bimari, garibi,
bad-surati ya koi pareshani sab Allah hi ki taraf se
hai, aur jo log is par Allah ki marzi samajh kar sabr
karte hain, Allah ke yaha iska bahut bada badla
hai. Ek hadees mein Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ne farmaya ke har takleef ke badle
Allah momin ke gunaho ko maaf kar deta hai. Isliye
koi khushi mile to Allah ka shukr ada kijiye aur koi
gam mile to sabar kijiye.
Lekin iska matlab ye nahi hai ke insan apni kismat
par hi bharosa karke beth jaae aur apni taraf se koi
koshish na kare. Ye bhi islam mein mana hai. Allah
ne insan ko acche aur bure dono kaam karne ka
ikhtiyaar (power) diya hai aur wo jo raasta chahe
chun sakta hai. Insan apne liye Allah se dua bhi
karta rahe kyonke dua bhi kismat badal deti hai.
Short mein puri baat ka matlab ye hai ke insan
apne acche kaamo ke liye koshish karta rahe, lekin
jab us kaam ka result aae to wo accha ho ya bura,
dil mein ye yakeen rakhe ke ye Allah ne meri
kismat mein likha tha isliye mujhe mila ya nahi
mila.
Jo hota hai Allah ke hukm se hota hai, Allah ke
marzi ke bina ek patta bhi nahi hilta, bas ye imaan
hamare dilo mein aa jaae. Aameen.

SOurce:facebook

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm