Islamic Blog

Koi Bhi Kaam Chhota Nahi Hota Lekin
Haram Aur Halal Zarur Hota……

Isliye Allah se dua mein halal rozi mangiye, aur halal rozi ke liye koshish kariye.

Insan ki kismat mein jitna pesa likha hai wo usko zarur milega lekin ye insan ke haath mein hai ke usko haram tarike se haasil kare ya halal tarike se.

Hazrat Ali (radi allahu anhu) ka ek waqya yaad aa gaya, wo batane mein baat kuch aage peeche ho sakti hai, lekin baat kuch is tarah se hi thi ke ek baar Hazrat Ali (radi allahu anhu) namaz ke liye masjid aae, unhone bahar khade aadmi ko kaha ke thodi der unka ghoda sambhal le, jab unhone namaz puri ki to irada kiya ke us aadmi ko kuch rupya de duga kyonke usne itni der mera ghoda sambhala hai, lekin jab wo bahar aae to dekha ke ghoda to khada hai lekin wo insan uski kaathi utha kar bhaag gaya, aur bazar mein bech di, baad mein Hazrat Ali (radi allahu anhu) ka bazar se guzar hua to dekha ke ek dukan par unke ghode ki kaathi tangi hai, unhone dukan waale se pucha ke ye kitne mein kharidi. Jab wo keemat Hazrat Ali (radi allahu anhu) ko pata chali to unhone farmaya ke itni hi keemat mein bhi usko ghoda sambhalne ki liye dene wala tha, lekin usne galat raasta chun liya.

Matlab ye hua ke us insan ki kismat mein itna pesa to likha tha, jitna Hazrat Ali (radi allahu anhu) usko dene waale the, lekin usne utni hi rakam chori karke haasil kar li.

Allah hum sabko halal rozi ata kare, aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm