Islamic Blog

[1] Jo Shakhs 1- Bar Subhanallah Kehta Hai Jannat me us Ke Naam Ka 1 Darakht laga Diya Jata Hai,
Kehte Hain Ke Us Darakht Ka Saya Itna Barha Hai Ke Agar Arbi Nasal Ka Ghora 500 Saal Tak Bhi Dorta Rahe Tab Bhi Us Ka Saya Khatam Nahi Hoga.
.
[2] Insaan ka Kirdaar Us Ki Zubaan Ke Neechey Posheeda(shupa hota) Hai Agar Kisi Shaks Ke Kirdaar Ka Pata Lagana Ho Tou Us Ko Sakht Ghussey Ki Halat Main Dekho.
Hazrat Ali (RadiAllah Anhu)
.
[3] Sari burayi mai se ek burayi gibat hai (Chugli karna).
Gibat gunah-e-kabira hai.Kisi ki peth ke pichhy burayi karne ko gibat kaha jata hai. Gibat ko Quran mai apne bhai ka gosht khana bataya gaya hai.
Aaj is gunaha se koi bhi nahi bachha hai. Bada ho ya fir chhota, mard ho ya aurat, aalim ho ya jahil, sabhi iss gunaha mai fase nazar aate hai aurr bade maze le lekar ek dusre ki burayiyan karte hai. Jis tarah chamdey ke karkhano mai kaam karne walo ko chamdey ki badbu mahesus nahi hoti kyonki wah uske aadi ho chuke hote hai,isi tarah gibat karne walo ko gibat ki badbu mahesus nahi hoti.
.
[4] Jab aap kisi gareeb ko zakaat de tuo uska shukriya ada kare kyon ki,
aap us gareeb ka aaj bana rahe hai. Par wo apki akhirat bana raha hai.
.
[5] Tumhara Behtareen Hum-Nasheen Wo Hai, Jo Tumhara Ayeb Jan kar bhi Tumare Saath Rahey Aur Wo Tumhare Parwardigar ke alawa koi Ho Hi Nahi Sakta.
.
[6] Zindagi mein kaamyabi Hasil karne ke liye humein sirf ek kaam karna hai,or woh hai ALLAH ki Nafarmani se bachna.
.
[7] Jo aadmi sadka-khaiyraatkarta hai, rishtedaro se achchha bartaw karta hai, Allah paak uski umar mein barkat ata farmata hai. Aur uski musibatein door farmata hai.
.
[8] Mushkilaat hamesha behtreen logon ke hisay me aati hain kyun ke woh us ko behtreen tariqay se anjaam denay ki salahiat rakhtay hain . Hazrat Ali(RadiAllah Anhu)
.
[9] Insaan ki ek chhoti si khata(galti) usey apne Rab se door leke ja sakti hai_Aur ek choti si Neki usey apne Rab ka Azeez tareen banda bana sakti hai.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm