Islamic Blog

Islam mein suicide karna haram hai aur bahut bada gunah hai. Suicide Karne waale ki duniya to kharab hoti hi hai, isse badh kar uski akherat kharab ho jaati hai. Koi insan kitna bhi pareshan ho, bimar ho, maayus ho lekin usko suicide karne ki ijazat nahi hai.
Allah kisi bhi insan ko sirf utni hi pareshani deta hai jitna us insan mein usko bardasht karne ki taakat hoti hai.
Jab bhi kisi par koi pareshani, takleef, bimari aati hai aur agar us time wo sabar karta hai to Allah uski har pareshani ke badle, bimari ke badle uske gunaho ko maaf karte jata hai. Allah ki rahmat to maaf karne ke bahane dhundti hai.
Ye duniya exam ki jagah hain, Allah ne humko yaha exam mein daala hai, sabko Allah alag-alag tarike se aazmata hai, kisi ko ameer bana kar, kisi ko gareeb bana kar, kisi ko aaram dekar aur kisi ko pareshani dekar. Aur kaamyab wahi hai jo har haal mein sabar kare, aur Allah ka shukar karta rahe.
Duniya ki zindagi bahut kam hai, ye ro kar guzar jaae ya hans kar. Lekin har haal mein Allah ke huqm ke hisab se guzre. Hamare ek pegamber ke ummati ki umar 1000-1500 saal thi, unko jab kisi ne bataya ke hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke ummati ki umar 60-70 saal hogi to unhone farmaya ke agar meri itni zindagi hoti to mein usko ek jhaad ke neeche hi guzar deta. Is baat se samajh aaya ke hamari duniya ki zindagi bahut kam hai, Lekin aakherat ki zindagi kabhi khatam hone wali nahi hai, waha insan ko maut nahi ana hai, agar koi suicide jesa kaam kar leta hai to uski hamesha rahne waali zindagi (aakherat) kharab ho jaati hai. Kyonke wo duniya ke exam mein (suicide karke) fail ho chuka hota hai. Insan sonchta hai ke suicide karne se meri pareshani, bimari ki takleef door ho jaaegi, lekin usko maalum nahi hota ke aesa sochna uski galti hai, kyonke duniya ki takleef, pareshani to kuch time ki hoti hai, lekin Allah ke yaha ka azab hamesha milne wala hai, aur bahut bada hai. Ek hadees mein gaya ke agar dozakh ki aag se kisi dozakhi ko nikal kar duniya ki aag mein daal diya jaae to usko duniya ki aag mein neend aa jaaegi. Matlab duniya ki aag, dozakh ki aag ke aage bahut thandi hai. Aur sabse badi baat ke suicide karne waale par jannat haram ho jaati hai.
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi) ne farmaya –
Pichley zamane mein ek shaks zakhmi ho gaya tha aur
us se usko badi takleef ho rahi thi aakhir usne chhuri (knife) se apna haath kaat dala jisse khoon bahne laga, is wajah se wo mar gaya, Allah ne farmaya,”Mere Bande ne marne mein jaldi
ki isliye maine bhi Jannat ko is par HARAM kar diya “.
Sahih Bukhari Vol 4, Book 56, No. 669.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya –
“Jis ne apne aap ko pahad se gira kar (khudkushi ki) halak kiya wo dozakh mein jaaega aur hamesha apne aap ko isi tarah pahad se girata rahega. Dozakh mein hamesha hamesha us ki yahi halat rahegi. Jisne zahar kha kar apne aap ko halak kiya (khudkushi ki) dozakh mein wahi zahar us k haath mein hoga jise khata rahega aur dozakh mein wo hamesha hamesha isi halat me rahega,
Jisne apne aap ko kisi hathiyar se halak kiya (khudkushi ki) wahi hathiyar Dozakh mein uske hath me hoga jise wo apne pet me marta rahega, dozakh mein wo hamesha hamesha isi halat me rahega”…….
[sahi bukhair 5442, muslim ]
kuch log hote hain jo gusse mein ya kisi baat se pareshaan hokar suicide karne ki sochne lagte hain, lekin unko ye samajh lena chahiye ki duniya ki takleef aur pareshani to kuch dino ki hai lekin aakherat ki saza bahut lambi hai. Agar aap sochte hain ki khudkushi karne se hamari saari takleef dur ho jaaegi to aesa sochna galat hai, balke takleef to aur badh jaayegi. Kyonke hamesha wahi khudkushi karne waali takleef bardasht karna padegi, jo duniya ki takleef se bahut zyaa hai, Kisi ko agar pareshani, bimari ya dukh hai to wo sabar kare aur Allah se madad maange, Allah sabar karne walo ke saath hota. Duniya ki pareshani kuch mahino ki ho sakti hai, baad mein time ke saath saath har zakhm bhar jata hai, lekin is doraan agar suicide kar liya to akherat hamesha hamesha ke liye kharab ho jaati hai.
Maayusi kufar hai, isliye Allah ki rahmat se kabhi maayus nahi hona chahiye, musalman ka sabse bada hathiyar uski dua hai, sirf ek hi cheez hai jo taqdeer ke likhe ko bhi badal sakti hai wo hai dua, tahajjud ki namaz ke liye uthiye aur Allah se khoob ro ro kar dua kijiye, Allah bahut raham karne wala hai, aapke jo haq mein behtar hoga, Allah wo kaam kar dega.
Allah har momin ko is gunah se bachae, Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm

2 Responses

  1. Mai ek aisi tklif mai hu.jo mai kisi ko nhi bta skta mai ek bramhn hu islamic topic ko padh kar thoda mera mnn hlka hua hai lekin kb tk ye mnn mai rhega..isme to suside na krne ki salah di ja rhi hai.mai jo apni zindgi mai glti kiya hu usko bhgwan bhi maaf nhi krega..sbse badi glti hoti hai jhoot bolna mere ko kbhi nhi pta tha ek din jhoot bolna mere liye itna mehnga pdega mai suside nhi krna chahta lekin meri haalat aisi hai ki mujhe ye kdam uthana pdega koi aur option nhi hai pta h mere ko koi maaf nhi krega lekin mai kr v kya skta hu kuch v nhi h mere pass na chahte hue v mere ko ye kdam uthana pd rha h..mout aaj aaye ya kuch saal baad mai aakhir marna to sab ko hai tadp tadp k mrne se acha ek hi baar khtm kro kyu ghut ghut k jiyoge..meko maaf kr dena.

    1. nahi bhai ye galat hai aap suicide na karo jo bhi ho aapke life me kabhi sucide mat karo..aap apna problem share kr sakte hai koi solution nikalenge humlog