Islamic Blog

Biwi Par Koi Gunah Nahe Ki Wo Apna Haq Mehar Maaf Karde, Is Ki Daleel Mandarja Zail Aayat Hai:“Agar Wo Khud Apni Khushi Se Kuch Mehar ChodDen To Usay Shooq Se Khush Ho Kar Khalo.”(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 4)KYA MEHAR KI AADAIGI ME TAKHEER DURUST HAI?———————————————Kisi Maslahat Kai Tahat (Mukammal Ya) Mehar Kai Kuch Hissay Ki Aadaigi Me Takheer Bhi Ja’iz Hai Khawah Is Ki Miqdaar Kam Ho Ya Zyada Aur Koi Muddat Muta’ayyan Karna Bhi Ja’iz Hai Jis Kai Andar Andar Shauhar Biwi Ko Mehar Ada Karde Aur Agar Koi Muddat Muta’ayyan Na Ki Jaye To Talaaq Ya Shauhar Ki Wafaat Kai Waqt Aurat Kai Liye Mehar Ki Aadaigi Lazim Ho Jayegi.…(Sheikh Ibn Jibreen)…Sheikh Ibn Usemeen, Sheikh Ibn Baaz Aur SheikhSaleh Bin Fawzan (Rahimahullah Alaihim) Ne BhiIsi Kai Mutabiq Fatwa Diya Hai.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm