Islamic Blog

Kya haiz wali aurat niyaz ka khana paka sakti hai, log kehte hai napak aurat niyaz ke liye khana nahi paka sakti aur kya hadis, panjsurah ya koi deeni kitab utha ya padh sakti hai, agar wo hindi me ho ya arabi me jawab inayat farmayen
Jawab
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
Aisi aurat khana paka sakti hai fir chahe khane ke liye ho ya niyaz ke liye,
agar khana napak ho jayega to niyaz to door khaya bhi nahi jaa sakta, ye mehez shariat se bekhabari hai, or aur aisi aurat apne wazife bhi isi hal me padh sakti hai, magar Quran ki niyat se koi Quran ki ayat padh bhi nahi sakti magar dua ki niyat se padh sakti hai jaise, khane waqt bismillah wagera wese bismillah bhi quran hai magar, ise dua ke tor par padha jaa sakta hai
Isi tarah shajra ke wazife bhi padhe ja sakte hai, magar quran ka chuna aur quran ki niyat se quran ya koi surat, ayat padhna haram hai,
▪️jaise ki Bahar E Shariat Jild1 Safah: 326.. me hai
Jis ko nahane ki zarurat ho(napak) usko masjid me jana, tawaf karna, quran ko chhuna, ya be chhuye dekh kar zubani padhna, ya kisi ayat ka likhna, ya ayat ka taweez likhna, ya aise taweez chhuna haram hai,
Iske siway hadees ya deeni masalo ki kitab padh sakte hai, Haram nahi na gunah, magar makru hai, or us kitab me ayat e qurani ka wahi hukm hoga jo byan hua yani usnka chhuna haram hoga,
▪️Jaisa ki : Bahar E Shariat Jild1 Safah:327 par hai:
In sab (napak, bewuzu) ko Fiqh, Tafseer aur Hadees ki kitabo ka chhuna makruh hai, aur agar unko kapde se chhua to harj nahi. Isi tarah inko azan ka jawab dena jaiz hai. Makruh – yani jise shariat pasand naa kare, magar kuch gunah nahi
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم
Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm