Islamic Blog

Kya Sureh Yusuf Padne Se Baccha Khoobsurat Paida Hota Hai aur Surah Maryam padhne se wiladat me asani hoti hai?

Yeh logo me baat mashhoor hai,iski koi daleeel nahi quran yaa sunnah me, pura quran shifa hai aur uska padhna shifa paane kaaa zariya hai,kayi surah ki fazilat maujood hai ahadith as sahiyah me lekin surah maryam aur surah yusuf ki jo fazail logo ne bayan ki woh nahi maujood hai koi sahih hadeeth me,aksar o beshtar yeh sab biddah hai.

Humare paas aisi koi daleel nahi shariyah me jo yeh baat sabit kare ki surah maryam yaa surah yusuf ki qiraat bache paida hone ke dard se aasaani karta hai, aur yeh baat par amal karna biddah hai aur humare Nabi salallahoalaihewasallam ne farmaya hai sahih Muslim aur sahih Bukhari ki hadeeth hai jo koi bhi humare din me nayi cheez laayega jo humari nahi woh mardood hai.
Sahih al bukhari, had-2697, Sahih Muslim, had-1718.

yeh baat malum honi chahiye ki puri quran me shifa hai

yeh baat hume quran ki ayah se malum hoti hai jaha par humare Rabb ne irshad farmaya aur humne quran ko nazil kiya jo shifa aur rahmat hai imaaan waalo ke liye[surah no 17,ayah no 82]

fir bhi ek juz quran ka kisi makhsoos cheez ke liye maan lena bina sabit daleel ke biddah hai,yeh isliye kyunki shariat humari is baare me Khamosh hai aur quran aur sunnah me yeh baat kahi par bhi nahi hai jo yeh baat kahe ki surah Maryam aur surah Yusuf padhne se maa ko aasaani hogi bacche ki wiladat ke waqt,yaa beta milega,aur aasaan paidash me. In baato ko maanna aur amal karna biddah hoga. lekin woh aurat Allah se madad maang sakhti hai duaaye kar sakti hai taake aasaani ho.

baaki Allah behtar jaanta hai.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm