KYA TUMNE BETA IN SAB CHEEZON KE LIYE
PAIDA KIYA ???
-> Shadi ki Sherwani, Ladki walo ne Di..
-> Valimey Ka Suit , Ladki walo ne Dilaya,
-> Time Dekhne Watch , Ladki walo ne di,
-> Haath me Sone ki Anguthi, Ladki walo ne Di,
-> Sone k liye BED ladki walo ne di,
-> kapde Rakhne ki Wardrobe, Ladki walo di,
-> Iphone, laptop aur LCD tv ladki walo ne di,
-> Drawing room k liye SOFA, ladki walo ne diya,
-> Bath room me Washing Machine Ladki walo ne di,
-> Ghoomne-Phirne k liye Car Ladki walo ne di,
-> Istemal karne k liye Fridge Ladki walo ne diya
-> Pakane k liye Gas stove ladki walo ne Diya,
-> Khane k liye bartan, Ladki walo ne Diye.
-> Pahenne k liye Shoes, Ladki walo ne Diye,
-> Arey Shoe to kya Socks b Ladki walo ne diye.
KYA MAA BAAP APNE JIGAR KA TUKDA
( LADKI ) DE RAHE HAIN ITNA KAAFI NAHI JO YE SAB BHI CHAHIYE ???
KYA TUMNE BETA IN SAB CHEEZON KE LIYE
PAIDA KIYA ???
Hazrat abu huraira radiallahu anh se riwayat hai ke nabi kareem sallallahualaih wasallam ne farmaya ke kisi aurat se char cheezon ki wajah se nikah kiya jata hai,uske husn-o jamal ki wajah se aur uske hasb-o nasb ki wajah se aur uske deen ki wajah se, lekin dekho tum deen wali aurat se nikah karna.
.
Afsos sad afsos aaj kal aksar log ye sab nahi dekhte balke ye dekhte hai ke ladki wale yaa ladke wale kitne maaldar hai,
Jo Jahez k liye Shadi karte Hain, wo Apne aap se puchain kya Shadi se pehle sasural k diye pe Guzar basar karte the. Mat bhooliye aap bhi kisi bahen k bhai hain, Dunya hai pyaroo Jaisa karoge waisa bharoge Agar Aaj aap kisi ki Bahen ko Izzat dainge to kal koi Aap ki bahen ko Izzat dega. Kaash k tere dil main utar jaye mere baat.
Jo Jahez o Jode ki Raqam leta ho Main nai
Samajhto K Us shaksh ki Izzat Na us k Biwi k Dil main rahegi na Sasural walo k kyun k Ladki ko Pata hai k us k walid ne kitni mehnat se paisa jama kiya tha is Faqeer ko dene k liye, Na Biwi k dil main izzat na Sasural walo k dil main Mohabbat…. Baat sahi hai na??
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya Hai Momino ki aik Doosre se Mohabbat, Aik doosre per Rahem Aur aik doosre se Shafaqqat ki Misal Insani Jism ki si Hai, Jub is k Kisi aik A’azu ko Takleef ho to Pura Jism be Aarami aur Bukhar me Mubtela hota hai. (Sahih Muslim)
Allah hum sab musalmano ko neik taofiq de
Aameen suma Aameen ya rabul Aalameen
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022