Islamic Blog

☆ Lanat Aur Bad’dua Karne Se Bacho ….
# Baat-Baat Me Lanat Aur Bad’Dua Karne Se Bacho –
» Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah ((Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Momin Naa Tou Taana Dene Wala Hota Hai, Naa Lanat Karne Wala, Naa Fahash(Fizul) Bakne Wala Behooda Hota Hai”
– (Tirmizi Sharif)
» Mahfum-e-Hadees: Ek Shakhs Ki Chaadar Ko Hawa Ke Tez Jhonke Lage Tou Usne Hawa Par Lanat Ki. Rasool’Allaah (Sallallaahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Hawa Par Lanat Naa Karo Ki Wo Allah Ki Taraf Se Maamoor Hai, Aur Jo Shakhs Aisi Cheez Par Lanat Karta Hai Jo Lanat Ki Ahl (Deserve) Naa Ho, Tou Wo Lanat Usi Par Laut Aati Hai Jisne Lanat Ki”.
– (Tirmizi Sharif)
» Mahfum-e-Hadees: Ek Shakhs Ne Apne Sawaari Ke Jaanwar Par Lanat Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Iss Se Utar Jaao, Hamaare Saath Mal’oon Cheez Ko Le Kar Naa Chalo.
Apne Upar Aur Apni Aulaad Aur Maal Par Bad’Dua Naa Karo, Ki Kahi Aisa Naa Ho Ki
Ye Bad’Dua Uss Saa’at Me Ho Jis Me Jo Dua Allah Se Ki Jaaye Wo Qubool Hoti Hai”.
– (Sahi Muslim Sharif)

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)