Ladki paida hone par naraz na ho. Ladki ki Pyar wa Muhabbat se parwarish Jannat me le jayegi
Aaj kal science ne bohot tarakki kar li he. Isika galat istemal kuch log x-rays,sonography ke jariye aurat ke pet me jo bacha ladka he ya ladki jan lete he. Agar ladki ho to bachcha mar diya jata he.Ya Allah ! Bohot afsos ki bat he.
Aye imanwalo Allah se daro use humare har kam ki khabar he.Aise log aulad ke katil aur gunahgar he unhe Roze mehshar saza milegi aur Jannat se mehrum honge.
Ladkiyo ki pyar wa muhabbat se parwarish Maa-Baap ke liye Jannat ka sabab he. Lihaza Beta aur Beti me koi fark
na kare. Allah subko amal ki taufiq ata farmaye Aameen (Awwal aakhir durood)
Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se riwayat he ki Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jise ladaki ho fir wo use zinda dafan Na kare,Na usko zalil samze aur Na ladke ko us par ahmiyat de to Allah Ta’ala
usko Jannat me dakhil karega. (Abu Dawood,Jild 3,Bab 548,Hadees 1705,Safa 616)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jisne apni 1 bhi ladaki ya behen ki parwarish ki aur use sharai aadab sikhaya,unse pyar wa muhabbat se pesh aaya aur unki shadi kardi to Allah Ta’ala use jarur Jannat me dakhil karega. (Abu Dawood,Jild 3,Bab 578,Hadees 1706,Safa 617)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jo log apni bachchiyo ko Pyar wa Muhabbat se parwarish karenge to woh bachchiya unke liye Jahannam se aad ban jayengi. (Tirmizi sharif,Jild 1,Bab 1279,Hadees 1980,Safa 901)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jisne 2 ladkiyo ki parwarish kiya yaha tak ke wo balig ho gayi to me aur wo Qayamat ke din is tarah karib honge. Fir Aapne apne 2 ungliyo ko mila kar bataya. (Muslim sharif)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Subse bada gunah ye he ki Allah ka kisi ko sharik thehraye.Fir uske bad ka gunah ye he ki Apni Aulad ko khane,Pine ke khauf se Katl kiya jaye. (Bukhari sharif,Jild 3,Bab 576,Hadees 939,Safa 345)
Allah Ta’ala hamen Betiyon se mohabbat karne ki toufiq ataa farmaye Aameen
Apne Bachcho ke achhe Nam rakho
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Allah ta’ala ne muzse farmaya Muze apne izzat wa Jalaal ki kasam jiska nam tumhare nam par hoga use dojakh ka
azab na dunga. (Ahkame Shariat Jild 1,Safa 81)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jiske 3 Bete paida ho aur wo unme se kisika nam Mohommad na rakhe to jarur Jahil he
(Tibrani sharif,Ahkame shariat,Jild 1,Safa 83)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Beshaq ! Tum roze Qayamat apne namo aur apne Bapo ke Namo se pukare jaoge to apne nam ache rakha karo.
(imam Ahmed,Abu Dawood,Jild 3,Bab 485,Hadees 1513,Safa 550)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ki Aadate kareema thi ki aap bure nam badal diya karte the.
(Tirmizi sharif Jild 2,Bab 335,Hadees 746,Safa 301,Abu Dawood,Jild 3,Bab 486,Hadees 1517,Safa 551)
Hazrat Abdullah ibne umar radiallaho anho se riwayat he ki Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Allah ta’ala ko tamam namo me se Abdullah aur Abdurrahman subse jyada pasand he
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 485,Hadees 1513,Safa 550)
Allah Ta’ala in saare masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022