Islamic Blog

1- Lailatul Qadar me ibadat pichle gunaho ki magfirat ka behtareen mawqa he.
Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayet hai k nabi s.a.w.s. ne farmaya ” jis ne lailatul qadar me imaan k saath sawab ki niyyat se qiyam kiya is pichle gunah maaf kar diye jate hai” Sahi Bukhari wo muslim.

2-Lailatul qadar ki raat pa k bhi ibadat na ki fuzul time me laga raha woh bohat bad naseeb hai.
Hazrat Anus bin malik r.a. se riwayet he k ramzan aya to Rasool Allah s.a.w.s. ne farmaya is maheene me ek aisi raat he jo Hazar(1000) maheene se behtar he jo shaks is se mehroom raha woh har bhali se mehroom raha or lailatul qadar ki saadat se sirf badnaseeb hi mehroom kiya jata he. Ibne Maja-1333.

Bohat sare log excuse dete hai k subha duty hi kam pe jana hota he is raat ka ehtemaam nahi karte woh badnaseeb he kaam duty saal bhar hota he ramzan ki yeh time saal me ek baar aata he hame chahiye k time nikal k raat poori nahi to der raat hi ibadat kare or sal me raat me koi film ya shadi k mawqe pe duty ho kaam ho raat jag kar enjoy karte he or is raat sote hai woh nabi ki habees k mutabik duniya k sab se badnaseeb log he.

3-Lailatul Qadar ramzan k Akhri Ashre mean last 10 days k taaq raton mean odd nights 21.23.25,27,29 ko talash karna chahiye.
Hazrat Aiysha r.a. se riwayet he Nabi s.a.w.s. ne farmaya” Ramzan ke Akhri Ashre(10 din) ki taaq(odd) raton me talash karo” Sahi Bukhari.
Bohat log sirf 27 ki raat ko badi raat ya qadar ki raat samjhte he yeh ek mugalta he is ki koi haqeeqat nahi k wahi raat qadar ki raat he clearly Nabi s.a.w.s. ne farmaya k taaq raat me talash karo un me se koi ek zaroor he or koi chahe to poori 10 raat jag kar ibadat kare woh bi behtar he.

4-Ramzan k last 10 days me bohat ziyada ibadat karni chahiye.
5- Ramzan k Akhri Ashre me apne ehlo ayal family ko ziyada ibadat k liye Khusoosi(special) bolna yaad dilana motivate karna sunnat he.
Hazrat Aysha r.a. farmati he” Ramzan k Akhri ashre me nabi s.a.w.s baqi dino k banisbat ibadat me ziyada koshish karte thy” Ibne maja-1429.
Hazrat Aysha Farmati he” Jab Ramzan k Akhri 10 din shuru hote to rasool Allah s.a.w.s. ibadat k liye kamar basta(ready) ho jate , raton ko jagte or apne ahlo ayal(family) ko bhi jagate. Bukhari wo Muslim.

Hame bhi chahiye k ramzan k akhri dino me qadar k raaton me ghar me apni aurton bachchiyon ko jagai rakhe or bacho ko masjid me le ja kar saath me ibadat kare ehtemam kare mahol banai ta k bachcho ko bachpan is mahol ki adat ho per afsos dar afso aaj mashre me is ka ulat hota he jaise jaise ramzan k akhri din aate he family bachche ziyada se ziyada eid ki shopping me lag jate market shopping khana fir thak k so jana nawjawan ladke ladkiyan ibadat ko nahi shopping ko ibadat bana lete hai.

6- Lailatul Qadar me yeh dua kasrat se padhna masnoon he.
Hazrat aysha r.a. riwayet he me ne poocha “Ya rasool Allah s.a.w.s. ager me shabe qadar pa lu to kon si dua padhu? nabi s.a.w.s. ne farmaya kaho” Allah humma Innika afo wun Tuhib-bul afwa fa-affu Anni” translation”Ya Allah! tu maaf karne wala he’ maaf karna pasand karta he’ lihaza mujeh maaf farma”Jamiya Tirmizi, Mshkath masabih hadees Sahi-2091.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)