Islamic Blog

Lanat Aur Bad’Dua Karne Se Bacho …..
» Baat Baat Me Lanat Aur Bad’Dua Karne Se Bacho «
» Hadees : Rasool’Allaah (Sallallaahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Momin Naa Taana Dene Wala Hota Hai, Naa Lanat Karne Wala, Naa Fahash(Fizul) Bakne Wala Behooda Hota Hai”
-: (Tirmizi Sharif)
» Hadees : Ek Shakhs Ki Chaadar Ko Hawa Ke Tez Jhonke Lage Toh Usne Hawa Par Lanat Ki. Rasool’Allaah (Sallallaahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Hawa Par Lanat Naa Karo Ki Wo Allah Ki Taraf Se Maamoor Hai, Aur Jo Shakhs Aisi Cheez Par Lanat Karta Hai Jo Lanat Ki Ahl (Deserve) Naa Ho, Toh Wo Lanat Usi Par Laut Aati Hai Jisne Lanat Ki”.
-: (Tirmizi Sharif)
» Hadees : Ek Shakhs Ne Apne Sawaari Ke Jaanwar Par Lanat Ki, Rasool’Allah (Sallallaahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Iss Se Utar Jaao, Hamaare Saath Mal’oon Cheez Ko Le Kar Naa Chalo. Apne Upar Aur Apni Aulaad Aur Maal Par Bad’Dua Naa Karo, Ki Kahi Aisa Naa Ho Ki Ye Bad’Dua Uss Saa’at Me Ho Jis Me Jo Dua Allah Se Ki Jaaye Wo Qubool Hoti Hai”.
-: (Sahi Muslim Sharif)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm