Dosto, maa-baap ka Islam mein
bahut bada darja hai, jis insan se
uske Maa-baap naraz hote hain
unse Allah bhi naraz hota hai, isliye
kabhi bhi apne maa-baap se unchi
awaz mein baat na karo, unko
sakht jawab na do, unki har baat
maano (agar koi baat islam ke
khilaf ho to usko mana kiya ja
sakta hai).
Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ne farmaya (jiska
matlab ye hai ki) – Agar meri maa
aaj zinda hoti aur mujhe kisi kaam
ke liye awaaz deti to chahe mein
Namaz padhne ke liye bhi khada
ho chuka hota to bhi mein namaz
todkar apni ammi ki baat sunen
chala jata.
Dosto, Jab insan bada hota hai aur
khud ke bacche hote hain, tab
usko pata chalta hai ki humko bhi
hamare maa-baap ne raato ko aise
hi jaag-jaag kar pala hoga. Hamare
Apni khushi ko qurbaan kar apne
baccho ki khushi puri ki hogi. Sote
mein agar ek baar maa humko
utha de to humko bura lag jata hai,
lekin bachpan mein hamari maa
baar-baar uthkar hamare kambal
ko sahi karti thi, hamare takiye ko
sahi karti thi,
Allah humko apne maa-baap ki
khidmat, izzat karne wala bana de.
Aameen
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021