>>>>> Assalamu Alaikum <<<<<
*Hazrat Abdullah bin Masood (r.a) ne *Taaj daare Haram* Sallal Laho Alaihe wasallam, se Dariyaft kiya – ki > Ya RasooL ALLAH (s.a.w) *ALLAH TA’AL* ke Nazdeek Sabse Zyada Pasandeeda AMAL kaun sa Hai ?
AAP (s.a.w) ne irshad Farmaya > NAMAZ (Jo) Apne waqt per (Adaa ki Jaye)
Un Sahaba (r.a) ne phir Dariyaft kiya > ki- Uske Baad kaun sa AMAL * ALLAH* ko Zyada Mahboob Hai ?
*AAP* (s.a.w) ne irshad Farmaya > Waalidain ke saath Neki karna – Unki ita’at aur Farma’bardari karna*
(Sahih Bukhari – Mawakitul Salah Hadees no 527)
Dosto- Zara Gaur Farmaiye – ALLAH ke RasooL (s.a.w) ne NAMAZ ke Baad Jis Nek Kaam ko Doosre Number Per Rakha – Woh Waaldain ki ita’at aur Farma Bardari Hai
isi tarha – Hazrat Jahema bin Abbas (r.a) ek Baar *AAP* (s.a.w) ki khidmat me Haazir Huwe – aur- Nihayat Adab se Arz kiya > Ya RasooL ALLAH (s.a.w) Mai GAZWA (Jang) me Shirkat ka irada Rakhta Hoon – aur- Aapki khidmat me Mashware ki Garaz se Haazir Huwa Hoon
Hakeem ul Ummat (s.a.w) ne Dariyaft Farmaya > Kya Tumhari MAA Zinda Hain ?
Unhone Arz kiya > Jee Haa, ALLAH ke RasooL, Meri MAA Zinda Hain
RasooL ALLAH (s.a.w) ne Farmaya > Jaao, Apni Waalida ki Khidmat Karo – ki- Jannat Unke Kadmo Tale Hai
(Sunan Nisayi- al jihad- Hadees 3106)
( Masnad Ahmed 429/3 )
Dosto – Ab Aap khud Samajh sakte Hain- ki- Waaldain ki Khidmat *AAP* (s.a.w) ke irshad se, JIHAD se Barhkar Hai
*ALLAH* Hum Sabhi ko Waldain ke Saath Achcha Sulook aur Unki Khidmat ki Taufeek Ataa Farmaye – aur – Aakhirat me Hame aur Unko “Nija’at- Bakhshish” Ataa Farmaye
**(( Aameen Ya RAB BU AALAMEEN ))**
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017