Islamic Blog

MAA-BAAP Ke 13 HAQ
(adhikaar) Hain,
.
In Mein Se 7 Maa Baap Ki
Hayaati (zinda rahte) Ke Hain
or Wo Yeh Hain.
.
1. Maa-baap ki izzat karna,
unse kabhi badtamizi na
karna, gusse se ya zor se na
bolna.
.
2. Maa-baap se mohabbat
rakhna, is baat ka khayaal
rakhna ki hamari kisi baat
se unka dil na dukhe.
.
3. Maa-baap ka kehna sunna
(unke saare hukmo ko
maanna, bas jo shariyat ke
khilaf na ho)
.
4. Maa-baap ki khidmat
(sewa) karna,
.
5. Maa-baap ko aaram
pahuchana.
.
6. Maa-baap ki zarurato ko
pura karna,
.
7. Unke pass bethna, unko
time dena, unse pyar se
baat karna, unki baato ko
sunna,
.
.
In Me Se 6 Un Ki Wafaat
(death) Ke Baad Ke or Wo
Yeh Hain.
.
1. Maa-baap ke liye Allah se
jannat aur maafi ki dua
karna.
.
2. Maa-baap ke sawab ki
niyat se acche kaam karna
aur unko isale sawab
pahuchana.
.
3. Maa-baap ke Rishtedaar
or Dosto Ki Izzat Karna.
.
4. Maa-baap ke Rishtedaar
or Dosto Ki madad Karna.
.
5. Maa-baap ke agar karzdar
the tuo unka karz ada karna
ya kisi ki amanat rakhi thi
to usko chukana.
.
6. Maa-baap ne jo wasiyat ki
ho us par amal karna. (lekin
wasiyat shariyat ke daire
mein ho).
.
Maa ke pero ke neeche
jannat hai ar Baap jannat ka
darwaza hai.
Jab insan ke khud ke bacche
hote hain aur jab wo unko
paalta hai tab usko ehsaas
hota hai ki mere maa-baap
ne bhi mujhe aisa hi paala
hoga.
Jab budha hone par bacche
kadar nahi karte ya baat
nahi sunte tab ehsas hota
hai ki jab hum bhi apne
maa-baap ka kehna nahi
sunte the tab unko bhi aisa
hi lagta hoga.
Maa-baap ke duniya se
chale jaane ke baad
pachhtawa hota hai ki kash
hum unki khidmat (sewa)
kar lete.
Jesa salook hum apne maa-
baap ke saath karege wesa
hi salook hamare bacche
hamare saaath kareinge.
.
Allah humko apne maa-
baap se mohabbat aur izzat
karne ki tofik ata kare.
Aameen..

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm