Islamic Blog

HIQAYAT:-
*********
Ek Roz Ek Shaks Ne Hazrat Abu-Ishaaq Se Zikr Kiya Ki Raat Ko Khwab May Maine Aapki Daadi Yakoot Wa Jawahiraat Se Murassa (Jadi Hui) Dekhi Hain! Abu-Ishaaq Farmane Lage, Tune Sach Kaha Raat Maine Apni Maa Ke Kadam Choome The! Yeh Uski Barkat Hain Aur Fir Ek Hadees Sunayi Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Farmate Hain! Khuda-Ta’aala Ne Loh-A-Mehfuz Per Yeh Likh Diya Hain Ki-

“Main Khuda Hoon, Mere Siwa Koi Poojne Ke Layak Nahi, Jis Shaks Ke Walidain Usper Raazi Hoge Main Bhi Usse Raazi Hoon!”

(Nujjahtul-Maja­lis, Baab Birrul-Walidain­, Jild-1, Pg-168)

***************­***************­**
SABAK:-
********
Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ka Irshad Hain Ki Aakhir Zamane May
“Akka-Ummu-Hu-W­a-Ata-A-Jaujat-­Hu”
(Mishkaat)
Aadmi Maa Ka Nafarmaan Aur Biwi Ka Taabedar Ban Jayega! Is Kism Ke Logon Se Maa Ke Kadam Choomne Ki Tawakku Abas Hain! Haan Aise Log Biwiyon Ke Kadam Zaroor Choomte Hain! Maa Ke Kadam Choone Ki Barkat Se Hazrat Ishaaq Ki Daadi Yahoot Aur Jawahiraat Se Murassa Hogayi Aur Aajkal Maa Ke Kadmon Se Dur Rehne Ki Ba-Daulat Daadi Gayab Hogayi! Wo Ek Bujurg Insaan Ki Nek Maa Ke Kadmon Ki Barkat Thi Ki Daadi Ke Baalon Se Yakoot Wa Jawahir Jud Gaye Aur Yeh Modern Shoher Ki Modern Biwi Ke Kadmon Ki Nuhusat (Manhusiyat) Hain Ki Daadi Ke Baal Bhi Udgaye!

Mard Hoker Mard Ka Chehra Nahi,
Kyonki Rukh Pe Reshe Ka Sehra Nahi!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm