Islamic Blog

kahani batata hu mai ek baar ki…
ye batayegi had tumko maa ke pyar ki…
kisi shahar me ek beta rahta tha apni maa ke
saath…
uske sar pe hi rahta tha aksar maa ki duao ka
haath…
magar buri sangat se wo is kadar se jakda hua
tha…
chori ki aadat nashe ki lat ne use pakda hua tha…
maa bacho ko padha padha ke thi pet paalti…
har waqt sochti thi ke kaise har khwahish ho puri
mere laal ki…
bete pe tha maa ko vishwash bhagwan se jyada…
bete ki ek muskurahat kar deti thi uske dukho ko
aadha…
bitatte gye din beta aur bigadne laga…
paiso ke liye budhi maa se tha ladne laga…
maa tab bhi uss se koi gilla nahi karti thi…
uski har khshi ko pura karne ke liye khoob mehnat
karti thi…
magar bete ke shokh utni daulat se pure na pade…
hamesha usko lutne wale dost rahte the uske pichhe
pade…
ladka ek din dosto ko smjhane laga…
budhiya ke paas kuchh bhi nahi ye batlane laga…
tab bich baat ko kaat kar uska ek dost tha bola…
“maa teri daulat ko chhupa kar tujh se jhoth bolti
hai
mere dost tu to hai bada bhola”
ja ye le khnajar budhiya ko khtam kar ke tu aa…
uski jitni daulat usse se aish tu uda…
bete ke dimaag me dosto ki bakwas ghar kar gyi…
maa ko maar sari daulat le lunga mai ye baat uske
sar chadh gyi…
beta utha nashe me madhhosh sa hua…
chla gya wo maa ke kamre me behosh sa hua…
ek war khhinch kar khanjar ka usne maa ke dil ke
paar kar diya…
maa bete ke rishte ko usne maa ke khoon se tar tar
kar diya…
par jab dekha bete ne to maa pahle se hi mari padi
thi…
uske sirhane me ek jahar ki botal aur ek chhithi
padi
huyi thi…
uss chithhi ko wo zalim beta padhne laga…
padhta padhta wo khud hi zameen me tha gadne
laga…
chithhi me maa ne likha tha ke beta maine zahar
kha
liya hai…
apni tamaam umar ke pyar ka badla tere irado ko
jaan kar paa liya hai…
bada afsoos khud pe aata hai mujhe…
ke na saki pura pyaar mai tujhe…
tabhi to tujhe daulat ka itna nasha chadhh gya…
isi liye tu buri sangat bure kamo me fas gya…
almari me rakhi hai ek laakh ki daulat…
jo maine jama ki thi teri shadi ke liye…
baaki ki daulat to tu tha meri..
magar teri aadato me daulat loot li meri…
maine pahle zahar isliye khaya hai…
kahi zamana na kah de ke bete ne maa ka khoon
bahaya hai…
tujhe bachane ke waste maine zahar pee liya…
tu aab bhi khush rahe mai ye karti hu dua…
beta itna jaan kar tha paglo ki tarah rone
laga…kahta phirta tha har tha sab se maine maa
ka
khoon kar diya…
din par din uski dimaagi halat thi bigadne lagi…
zmane ki lahnat thi uss pe padne lagi…
aise paglata paglata wo ek din mar gya…
magar bete ke rishte ko wo lalach ke liye badnaam
kar gya…
dua karta hun mai ke ye bas kahani rahe…
sach me kisi maa ke aankh me bete ke liye iss tarah
ka na pani rahe…
karo uski seva uske kadmo me jannat basti hai…
khuda har baat puri karta hai jab tumhari vajah se
maa hasti hai…

i love you so much ammy

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm